Honeymoon Ki Raat Lyrics - The Dirty Picture


Honeymoon Ki Raat Lyrics from the movie The Dirty Picture is sung by Sunidhi Chauhan, its music is composed by Vishal Shekhar and lyrics are written by Rajat Arora. The Dirty Picture is a 2011 Hindi movie starring Vidya Balan, Naseeruddin Shah and Emraan Hashmi.

Honeymoon Ki Raat Lyrics - The Dirty Picture

Honeymoon Ki Raat Song Detail


Song: Honeymoon Ki Raat
Album: The Dirty Picture (2011)
Singer: Sunidhi Chauhan
Musician: Vishal Shekhar
Lyricist: Rajat Arora
Star Cast: Vidya Balan, Naseeruddin Shah, Emraan Hashmi etc.

Honeymoon Ki Raat Lyrics

Honeymoon ki raat hoti hai
Main wohi raat hoon
Us raat mein jo baat hoti hai
Main wohi baat hoon
Hosh udha de jo dilbar ka
Main wohi sharab hoon
Kaam Dev ka sutra padha hai
Main wohi kitaab hoon
Main wohi kitaab hoon

Banjo si bajti hun

Khwaabon mein sajti hun
Kar le mere gentlemen kharabi zara
Whisky si chadhti hun
Hichki si phasti hun
Ban ja mere gentlemen sharabi zara
Bhool jaayein hum jo khud ko
Aisi may tu pila de zara

Kamre mein andhera kar
Aankhon ko khol de
Jo bhi hai tere dil mein
Chupke se mehfil mein
Kaanon mein bol de Khatre ka dar na kar
Har hadd ko tod de
Zara sa aage badh tu
Na khud se aise lad tu
Sab mujhpe chhod de
Arre bura
Bhoola hai, rootha hai, chubhta hai
Dukhta hai sapna
Woh jismein main na hun
Main hi main hun, mai ki main hun
Mujh mein may tu mila de zara

Har jalwa mera qaatil
Main hothon se dasti hun
Chhuri si chubti hun
Goli si lagti hoon, zehar si chadti hun
Har tan pe sajta hai jo
Main aisa sona hun
Jala ke jo na jale, bujha ke jo na bujhe
Main aisa shola hun
Hey jala..
Kala hai, maila hai, ganda hai, bala hai
Jeena woh jis mein main na hun
Main hi main hun, mai ki main hun
Mujh mein may tu mila de zara

Honeymoon ki raat hoti hai
Main wohi raat hoon
Haan us raat mein jo baat hoti hai
Main wohi baat hoon
Hosh udha de jo dilbar ka
Main wohi sharab hoon
Kaam Dev ka sutra padha hai
Main wohi kitaab hoon
Main wohi kitaab hoon

Banjo si bajti hun
Khwaabon mein sajti hun
Kar le mere gentlemen kharabi zara
Whisky si chadhti hun
Hichki si phasti hun
Ban ja mere gentlemen sharabi zara
Bhool jaayein hum jo khud ko
Aisi may tu pila de zara

More Lyrics From The Dirty Picture