Har Chehra Yahan Chand Lyrics - Aabroo


Har Chehra Yahan Chand Lyrics from Aabroo is Hindi song sung by Mohammed Rafi. Har Chehra Yahan Chand song lyrics are written by GL Rawal, its music is given by Master Sonik and Om Prakash Sonik. Aabroo is a 1968 Hindi movie starring Deepak Kumar, Vimmi Ashok Kumar and Rehman.

Har Chehra Yahan Chand Lyrics - Aabroo

Har Chehra Yahan Chand Song Detail


Song: Har Chehra Yahan Chand
Album: Aabroo (1968)
Singer: Mohammed Rafi
Musician: Master Sonik, Om Prakash Sonik
Lyricist: G.L. Rawal
Star Cast: Deepak Kumar, Vimmi Ashok Kumar, Rehman etc.

Har Chehra Yahan Chand Lyrics

Har chehra yahan chand
Har chehra yahan chand
To har zarra sitara
Har chehra yahan chand
To har zarra sitara
Yeh vaadi e Kashmir hai
Jannat ka nazara
Jannat ka nazara

Har chehra yahan chand
Har chehra yahan chand

To har zarra sitara
Har chehra yahan chand
To har zarra sitara
Yeh vaadi e Kashmir hai
Jannat ka nazara
Jannat ka nazara
Har chehra yahan chand

Hansti hain jo kaliyan
To haseen phool hain khilte
Hansti hain jo kaliyan
To haseen phool hain khilte
Hain log yahan jaise Utar aaye farishte ho

Har dil se nikalti hai
Yahan pyar ki dhara
Har dil se nikalti hai
Yahan pyar ki dhara
Yeh vaadi e Kashmir hai
Jannat ka nazara
Jannat ka nazara
Har chehra yahan chand

Yeh chotiyan barfon ki
Hain azadi ka parcham
Yeh chotiyan barfon ki
Hain azadi ka parcham
Hansti hai gulami pe
Yeh insaan ki hardam ho

Deti hain aakash ko
Baahon ka sahara
Deti hain aakash ko
Baahon ka sahara
Yeh vaadi e Kashmir hai
Jannat ka nazara
Jannat ka nazara
Har chehra yahan chand

Din raat hawa saaz
Bajati hai suhane
Din raat hawa saaz
Bajati hai suhane
Nadiyon ke labon par hain
Mohabbat ke tarane ho

Masti mein hai dooba hua
Behosh kinaara
Masti mein hai dooba hua
Behosh kinaara
Yeh vaadi e Kashmir hai
Jannat ka nazara
Jannat ka nazara
Har chehra yahan chand

Yeh jalwa e rangin hai
Kisi khwaab ki tabeer
Yeh jalwa e rangin hai
Kisi khwaab ki tabeer
Ya phoolon mein baithi huyi
Dulhan ki hai tasveer ho

Ya tham gaya chalta hua
Pariyon ka shikara
Ya tham gaya chalta hua
Pariyon ka shikara
Yeh vaadi e Kashmir hai
Jannat ka nazara
Jannat ka nazara

Har chehra yahan chand
To har zarra sitara
Har chehra yahan chand
To har zarra sitara
Yeh vaadi e Kashmir hai
Jannat ka nazara
Jannat ka nazara
Har chehra yahan chand