Gussa Itna Haseen Hai To Lyrics - Maryada
Gussa Itna Haseen Hai To Lyrics from Maryada is Hindi song sung by Kishore Kumar. Gussa Itna Haseen Hai To song lyrics are written by Anand Bakshi, its music is given by Kalyanji Anandji. Maryada is a 1971 Hindi movie starring Mala Sinha, Raaj Kumar and Rajesh Khanna.

Gussa Itna Haseen Hai To Song Detail
Song: Gussa Itna Haseen Hai To
Album: Maryada (1971)
Singer: Kishore Kumar
Musician: Kalyanji Anandji
Lyricist: Anand Bakshi
Star Cast: Mala Sinha, Raaj Kumar, Rajesh Khanna etc.
Gussa Itna Haseen Hai To Lyrics
Ga ga ga ga ga gussa
Gussa itna haseen hai to
Pyaar kaisa hoga
Ho pyaar kaisa hoga
Arre aisa jab inkaar hai to
Ikraar kaisa hoga
Ikraar kaisa hoga
Palkein palkein uthi huyi si hain
Aankhein jhuki huyi si hain
Palkein uthi huyi si hain
Dilkash raseele hothon pe
Baatein ruki huyi si hain
Khamoshi khamoshi aisi hai to
Izhaar kaisa hoga
Izhaar kaisa hoga
Ga ga
Gussa itna haseen hai to
Pyaar kaisa hoga
Ho pyaar kaisa hoga
Haan kaajal agar laga leti
Paagal humein bana deti
Haan haan kaajal agar laga leti
Paagal humein bana deti
Bindiya agar laga leti
Ghayal humein bana deti
Saadgi saadgi mein husn hai
Singaar kaisa hoga
Singaar kaisa hoga
Arre gussa itna haseen hai to
Pyaar kaisa hoga
To pyaar kaisa hoga
Dekhun dekhun agar to ghabraye
Chhu loon agar to sharmaye
Dekhun agar to ghabraye
Chhu loon agar to sharmaye
Chhedun zara sa to haaye
Maare sharam ke mar jaaye
Tauba tauba tauba
Tauba aisa sharmeela
Dildaar kaisa hoga
Dildaar kaisa hoga
Ga ga gussa itna haseen hai to
Pyaar kaisa hoga
To pyaar kaisa hoga