Gori Tera Gaon Bada Pyara Lyrics - Chitchor


Gori Tera Gaon Bada Pyara Lyrics from Chitchor is Hindi song sung by Yesudas. Gori Tera Gaon Bada Pyara song lyrics are written by Ravindra Jain, its music is given by Ravindra Jain. Chitchor is a 1976 Hindi movie starring Amol Palekar, Zarina Wahab and Vijayendra Ghatge.

Gori Tera Gaon Bada Pyara Lyrics - Chitchor

Gori Tera Gaon Bada Pyara Song Detail


Song: Gori Tera Gaon Bada Pyara
Album: Chitchor (1976)
Singer: Yesudas
Musician: Ravindra Jain
Lyricist: Ravindra Jain
Star Cast: Amol Palekar, Zarina Wahab, Vijayendra Ghatge etc.

Gori Tera Gaon Bada Pyara Lyrics

Gori tera gaon bada pyara
Main to gaya mara aake yahan re
Us par roop tera saada
Chandrama jyun aadha
Aadha jawan re
Gori tera gaon bada pyara
Main to gaya mara aake yahan re
Aake yahan re

Jee karta hai mor ki paon mein
Paayaliya pehna doon

Kuhu kuhu gaati koyaliya ko
Phoolon ka gehna doon
Yahin ghar apna banane ko
Panchhi karein dekho tinke jama re
Tinke jama re
Gori tera gaon bada pyara
Main to gaya mara aake yahan re
Aake yahan re

Rang birange phool khile hain
Log bhi phoolon jaise
Aa jaaye ik baar yahan jo
Jayega phir kaise Jhar jhar jharte huye jharne
Man ko lage harne
Aisa kahan re, aisa kahan re
Us par roop tera saada
Chandrama jyun aadha
Aaadha jawan re

Pardesi anjaan ko aise
Koyi nahi apnaata
Tum logon se jud gaya jaise
Janam janam ka nata
Apne dhun mein magan dolein
Log yahan bolein
Dil ki zaban re dil ki zaban re
Gori tera gaon bada pyara
Main to gaya mara aake yahan re
Us par roop tera saada
Chandrama jyun aadha
Aadha jawan re