Ek Hasina Thi Ek Deewana Tha Lyrics - Karz




Ek Hasina Thi Ek Deewana Tha Lyrics from Karz is sung by Kishore Kumar and Asha Bhosle. Ek Hasina Thi Ek Deewana Tha song lyrics are written by Anand Bakshi while its music is given by Laxmikant and Pyarelal. Karz is a 1980 Hindi movie starring Rishi Kapoor, Tina Munim and Simi Garewal.

Ek Hasina Thi Ek Deewana Tha Lyrics

Ek hasina thi ek deewana tha
Kya umar kya sama kya zamana tha
Ek hasina thi hasina thi
Ek deewana tha deewana tha
Kya umar kya sama kya zamana tha

Ek din woh mile roz milne lage
Ek din woh mile roz milne lage
Phir mohabbat huyi bas qayamat huyi

Kho gaye tum kahan sunke yeh dastaan
Log hairan hain kyun ki anjaan hain
Ishk ki woh gali baat jiski chali

Uss gali mein mera aana jaana tha
Ek hasina thi ek deewana tha
Kya umar thi kya sama tha kya zamana tha
Ek hasina thi ek deewana tha

Uss hasin ne kaha
Uss hasin ne kaha suno jaan-e-wafa
Yeh falak yeh zameen tere bin kuchh nahi
Tujhpe marti hoon main pyar karti hoon main
Baat kuchh aur thi woh nazar chor thi
Uske dil mein chhupi chah daulat ki thi


Pyar ka woh faqat ik bahana tha
Ek hasina thi ek deewana tha
Kya umar thi kya sama tha kya zamana tha
Ek hasina thi ek deewana tha

Bewafa yaar ne apne mehboob se
Aisa dhoka kiya
Aisa dhoka kiya zehar usko diya
Zehar usko diya

Mar gaya woh jawan
Mar gaya woh jawan
Ab suno dastaan

Janm leke kahin phir woh pahuncha wahin
Shakl anjaan thi akal hairan thi
Samna jab hua
Samna jab huwa phir wahi sab hua
Uspe yeh karj tha
Uska yeh farz tha
Farz ko karz apna chukana tha




Ek Hasina Thi Ek Deewana Tha Song Detail


Song: Ek Hasina Thi Ek Deewana Tha
Album: Karz (1980)
Singer: Kishore Kumar, Asha Bhosle
Musician: Laxmikant, Pyarelal
Lyricist: Anand Bakshi
Star Cast: Rishi Kapoor, Tina Munim, Simi Garewal etc.