Duniya Mein Tera Hai Bada Naam Lyrics - Loafer


Duniya Mein Tera Hai Bada Naam Lyrics from the movie Loafer is sung by Mohammad Rafi, its music is composed by Laxmikant and Pyarelal and lyrics are written by Anand Bakshi. Loafer is a 1973 Hindi movie starring Dharmendra, Mumtaz and Keshto Mukherjee.

Duniya Mein Tera Hai Bada Naam Lyrics - Loafer

Duniya Mein Tera Hai Bada Naam Song Detail


Song: Duniya Mein Tera Hai Bada Naam
Album: Loafer (1973)
Singer: Mohammad Rafi
Musician: Laxmikant, Pyarelal
Lyricist: Anand Bakshi
Star Cast: Dharmendra, Mumtaz, Keshto Mukherjee etc.

Duniya Mein Tera Hai Bada Naam Lyrics

Duniya mein tera hai bada naam
Aaj mujhe bhi tujhse pad gaya kaam
Meri binti sune to jaanoon
Meri binti sune to jaanoon
Maanoon tujhe main Ram
Ram nahi to kar doonga
Saare jag mein tujhe badnaam
Duniya mein tera hai bada naam
Aaj mujhe bhi tujhse pad gaya kaam

Main nahi kehta, kehte hain saare

Main nahi kehta, kehte hain saare
Toone banaaye chaand sitaare
Tu dukh door kare to mere
Meri bigdi banaaye to tere
Gun gaaoon subah-o-shaam
Ram nahi to kar doonga
Saare jag mein tujhe badnaam
Duniya mein tera hai bada naam
Aaj mujhe bhi tujhse pad gaya kaam

Sathi jagat mein bas ik apna
Sathi jagat mein bas ik apna
Is jeevan ka aakhiri sapna Woh bhi tod ke daata na le
Yun munh mod ke daata na le
Sar pe tu yeh iljaam
Ram nahi to kar doonga
Saare jag mein tujhe badnaam
Duniya mein tera hai bada naam
Aaj mujhe bhi tujhse pad gaya kaam

Majboori tere dar pe le aayi
Majboori tere dar pe le aayi
Asha ki maine jyot jagaayi
Oh man ki bujhti jyot jaga de
Meri tooti aas bandha de
Aaya main tere dhaam
Ram nahi to kar doonga
Saare jag mein tujhe badnaam

Duniya mein tera hai bada naam
Aaj mujhe bhi tujhse pad gaya kaam
Meri binti sune to jaanoon
Meri binti sune to jaanoon
Ho Ram, ho Ram
Meri binti sune to jaanoon
Meri binti sune to jaanoon
Ho Ram, ho Ram