Dua (O Rabba) Lyrics - Rabba Main Kya Karoon
Dua (o Rabba) lyrics from movie Rabba Main Kya Karoon. The song is sung and composed by Akash Chopra, while lyrics of Dua (o Rabba) are written by Zaheer Anwar. Rabba Main Kya Karoon is a 2013 Hindi movie starring Arshad Warsi, Riya Sen and Akash Sagar.

Dua (O Rabba) Song Detail
Song: Dua (O Rabba)
Album: Rabba Main Kya Karoon (2013)
Singer: Akash Chopra
Musician: Akash Chopra
Lyricist: Zaheer Anwar
Star Cast: Arshad Warsi, Riya Sen, Akash Sagar etc.
Dua (O Rabba) Lyrics
Zindagi ki raahon mein
Saath hum agar chalein
Kyun meri nazar mein hai
Is qadar yeh faasle
Dil jo phool tha
Sholon mein dhala.. haan...
Jalti hai jahaan dua..
Saath jo tu nahi..
Zindagi ka kya karein
Jismein tu hai nahi
Waqt ki nigaah mein
Yaadon ke nishaan hain
Dil ki har zameen pe
Waadon ke nishaan hain
Dil jo phool tha..
Sholon mein dhala.. haan... haan..
Jalti hai jahaan dua..
Jalti hai jahaan dua.. haan...
Saath jo tu nahi..
Zindagi ka kya karein
Jismein tu hai nahi
Us khushi ka kya karein.. hey..
O Rabba meri jaan lauta de
O Rabba main kahaan tere aage
O Rabba mera dard bhula de
Ya Rabba mera yaar mila de
[O Rabba meri jaan lauta de
O Rabba main kahaan tere aage
O Rabba mera dard bhula de
Ya Rabba mera yaar mila de]
Zindagi ki raahon mein
Saath hum agar chalein
Chaahta hai yeh dil mera
Ke phool phir wohi khile..
Saath jo tu nahi..
Zindagi ka kya karein
Jismein tu hai nahi
Us khushi ka kya karein.. hey..
O Rabba meri jaan lauta de
O Rabba main kahaan tere aage
O Rabba mera dard bhula de
Ya Rabba mera yaar mila de
O Rabba.. [O Rabba meri jaan lauta de]
O Rabba.. [O Rabba main kahaan tere aage]
O Rabba.. [O Rabba mera dard bhula de]
O Rabba.. [Ya Rabba mera yaar mila de]