Do Rang Duniya Ke Lyrics - Do Raaste




Do Rang Duniya Ke Lyrics from the movie Do Raaste is sung by Mukesh, its music is composed by Laxmikant and Pyarelal and lyrics are written by Anand Bakshi. Do Raaste is a 1969 Hindi movie starring Rajesh Khanna, Mumtaz and Prem Chopra.

Do Rang Duniya Ke Lyrics

Do rang duniya ke aur do raaste
Do rang duniya ke aur do raaste
Do roop jeewan ke jeene ke vaste
Do rang duniya ke aur do raaste

Soch samajh ke paanv rakhe
Samjha do har deewane ko
Samjha do har deewane ko
Ik rasta mandir ko jaaye
Ik jaaye maikhane ko
Ik jaaye maikhane ko
Rasta bhool na jaaye
Raahi dhokha na khaaye
Do rang duniya ke aur do raaste
Do roop jeewan ke jeene ke vaste
Do rang duniya ke aur do raaste

Ek hain aise log jo
Auron ki khatir jeete hain
Auron ki khatir jeete hain
Doosre woh jo apni khatir
Apano ka koon bhi peete hain
Apano ka koon bhi peete hain
Koyi phool khilaaye, koyi kante bikhraye Do rang duniya ke aur do raaste
Do roop jeewan ke jeene ke vaste
Do rang duniya ke aur do raaste
Aur do raaste
Aur do raaste




Do Rang Duniya Ke Song Detail


Song: Do Rang Duniya Ke
Album: Do Raaste (1969)
Singer: Mukesh
Musician: Laxmikant, Pyarelal
Lyricist: Anand Bakshi
Star Cast: Rajesh Khanna, Mumtaz, Prem Chopra etc.