Dekhiye Sahibon Woh Koi Aur Thi Lyrics - Teesri Manzil


Dekhiye Sahibon Woh Koi Aur Thi Lyrics from Teesri Manzil is Hindi song in the voices of Asha Bhosle, Mohammed Rafi. Dekhiye Sahibon Woh Koi Aur Thi song lyrics are written by Majrooh Sultanpuri, its music is given by R D Burman. Teesri Manzil is a 1966 Hindi movie starring Shammi Kapoor, Asha Parekh and Prem Chopra.

Dekhiye Sahibon Woh Koi Aur Thi Lyrics - Teesri Manzil

Dekhiye Sahibon Woh Koi Aur Thi Song Detail


Song: Dekhiye Sahibon Woh Koi Aur Thi
Album: Teesri Manzil (1966)
Singer: Asha Bhosle, Mohammed Rafi
Musician: R. D. Burman
Lyricist: Majrooh Sultanpuri
Star Cast: Shammi Kapoor, Asha Parekh, Prem Chopra etc.

Dekhiye Sahibon Woh Koi Aur Thi Lyrics

Dekhiye sahibon woh koi aur thi
Aur yeh naazni hai meri
Main inpe marta hoon
Dekhiye sahibon woh koi aur thi
Aur yeh naazni hai meri ha

Samjha tha main yeh hai khadi
Lekin wahan koi aur thi
Inke liye aye mohtaram
Chheda kisi aur ko tha khuda ki kasam

Dekhiye sahibon woh koi aur thi

Aur yeh naazni hai meri
Main inpe marta hoon

Logon kehne do isako
Yeh hai koi deewana
Aaye haaye haaye
Main na jaanu kisi ko
Itna mera fasana

O ho ekdum ghalat fasana hai
Ekdum ghalat fasana hai
Inse to purana hai apna silsila

Dekho to pyaar inko bhi hai
Mera khumaar inko bhi hai Inke liye aye mohtaram
Chheda kisi aur ko tha khuda ki kasam

Dekhiye sahibon woh koi aur thi
Aur yeh naazni hai meri
Main inpe marta hoon

Maine kab isko chaha
Keh do itna na phenke
Aaye haaye haaye
Aashiq ban'ne se pehle
Apni soorat to dekhe

O ho soorat bhali buri kya hai
Soorat bhali buri kya hai
Sauda to nazar ka hai
Sauda pyaar ka

Inko kahan gham doston
Ruswa huye hum doston
Inke liye aye mohtaram
Chheda kisi aur ko tha khuda ki kasam

Dekhiye sahibon woh koi aur thi
Aur yeh naazni hai meri
Main inpe marta hoon

Haaye haaye dekho to isko
Bole hi jaa raha hai
Uljhi baaton mein zaalim
Sabko uljha raha hai
O ho sach ban gaya agar uljhan
Sach ban gaya agar uljhan
Phir kahiye janabe man meri kya khata

Mujh par yakeen ab kam sahi
Main saada dil muzrim sahi
Inke liye aye mohtaram
Chheda kisi aur ko tha khuda ki kasam

Dekhiye sahibon woh koi aur thi
Aur yeh naazni hai meri
Main inpe marta hoon
Dekhiye sahibon woh koi aur thi
Aur yeh naazni hai meri
Main inpe marta hoon