Dekhi Zamane Ki Yaari Lyrics - Kagaz Ke Phool


Dekhi Zamane Ki Yaari Lyrics from the movie Kagaz Ke Phool is sung by Mohammad Rafi, its music is composed by S D Burman and lyrics are written by Kaifi Azmi. Kagaz Ke Phool is a 1959 Hindi movie starring Guru Dutt, Waheeda Rehman and Baby Naaz.

Dekhi Zamane Ki Yaari Lyrics - Kagaz Ke Phool

Dekhi Zamane Ki Yaari Song Detail


Song: Dekhi Zamane Ki Yaari
Album: Kagaz Ke Phool (1959)
Singer: Mohammad Rafi
Musician: S. D. Burman
Lyricist: Kaifi Azmi
Star Cast: Guru Dutt, Waheeda Rehman, Baby Naaz etc.

Dekhi Zamane Ki Yaari Lyrics

Dekhi zamane ki yaari
Bichhde sabhi, bichhde sabhi baari baari
Arre dekhi zamane ki yaari
Bichhde sabhi baari baari

Kya leke milein ab duniya se
Aansoo ke siwa kuchh paas nahin
Ya phool hi phool the daaman mein
Ya kaanton ki bhi aas nahin
Matlab ki duniya hai saari
Bichhde sabhi, bichhde sabhi baari baari

Arre dekhi zamane ki yaari
Bichhde sabhi baari baari
Bichhde sabhi baari baari

Waqt hai meharban, aarzoo hai jawan
Fikar kal ki karein itni fursat kahan
Waqt hai meharban, aarzu hai jawan
Fikar kal ki karein itni fursat kahan

Daur yeh chalta rahe, rang uchhalta rahe
Roop machalta rahe, jaam badalta rahe x (6)

Raat bhar mehman hain bahaarein yahan
Raat gar dhal gayi phir ye khushiyan kahan
Raat bhar mehman hain bahaarein yahan Raat gar dhal gayi phir ye khushiyan kahan
Pal bhar ki khushiyan hain saari
Pal bhar ki khushiyan hain saari
Pal bhar ki khushiyan hain saari
Badhne lagi bekarari, badhne lagi bekarari
Arre pal bhar ki khushiyan hain saari
Badhne lagi bekarari, badhne lagi bekarari

Ud ja, ud ja pyase bhanwre
Ras na milega khaaron mein
Kagaz ke phool jahan khilte hain
Baith na un gulzaron mein
Nadaan tamanna reti mein
Ummeed ki kashti kheti hai
Ik hath se deti hai duniya
Sau hathon se leti hai
Ye khel hai kab se jaari, haye
Bichhde sabhi, bichhde sabhi baari baari
Arre dekhi zamane ki yaari
Bichhde sabhi baari baari



More Lyrics From Kagaz Ke Phool