Chanda Mama Se Pyara Mera Mama Lyrics - Kartavya
Chanda Mama Se Pyara Mera Mama Lyrics of Kartavya (1979) is penned by Verma Malik, it's composed by Laxmikant and Pyarelal and sung by Mohammad Rafi and Usha. Kartavya is a 1979 Hindi movie starring Dharmendra, Rekha and Vinod Mehra.
Chanda Mama Se Pyara Mera Mama Lyrics
Kuchh bhi kahega to abhi nahin jaaoongi
Kahin nahin jaaoongi, kabhi nahin jaaoongi
Chanda mama se pyara mera mama
Meri aankhon ka tara mera mama
Ho chanda mama se
Chanda mama se pyara mera mama
Meri aankhon ka tara mera mama
Ho chanda mama se
Aao aaj banenge mil ke hum dono humjoli
Aao aaj banenge mil ke hum dono humjoli
Tum dhoondho main chhup chhup jaaoon
Chhup chhup jaaoon, khelein aankh micholi
Kehna maanega, maanega, maanega
Kehna maanega pyara mera mama
Meri aankhon ka tara mera mama
Ho chanda mama se
Chanda mama se pyara mera mama
Meri aankhon ka tara mera mama
Na to maa ki mili hai mamta, na bapu ka saya
Na to maa ki mili hai mamta, na bapu ka saya
Teri god mein aa baithi hoon
Dekh ke thandi chhaya
Mera jeevan sahara, mera jeevan sahara
Mera jeevan sahara mera mama
Meri aankhon ka tara mera mama
Ho chanda mama se
Chanda mama se pyara mera mama
Meri aankhon ka tara mera mama
[Chalo ab tum apne ghar jao.
Hmm..
Dekho munni bachche zyada shararat nahi karte jao.
Nahi jaaoongi.
Dekho raat bahut ho chuki hai, main kehta hoon jao.
Nahi jaaoongi.
Nahi jaayegi, nahi jaayegi, thehar
Ha ha ha ha ha
Pakad isko]
Ek din doolhe raja ke sang char kahaar bulaaoon
Ek din doolhe raja ke sang char kahaar bulaaoon
Apne hathon se hi main doli mein tujhe bithaaoon
Us din mujhko chhod ke tu aisi duniya mein jaaye
Har ek ladki jahan se wapas laut ke phir na aaye
Rota rahega bechara tera mama
Lota lahega bechala tela mama
Ho chanda mama se
Chanda mama se pyala mera mama
Meri aankhon ka tara mera mama
Ho chanda mama se
Chanda Mama Se Pyara Mera Mama Song Detail
Song: Chanda Mama Se Pyara Mera Mama
Album: Kartavya (1979)
Singer: Mohammad Rafi, Usha
Musician: Laxmikant, Pyarelal
Lyricist: Verma Malik
Star Cast: Dharmendra, Rekha, Vinod Mehra etc.
Recently Added Songs
- Kudi Main Hoon Kunwari Lyrics - Twinkle Khanna
- Halka Halka Dard Hai Lyrics - Akshay Kumar
- Chhukar Tere Mann Ko Lyrics - Akshay Kumar
- Tumhe Paa Ke Humne Jahan Paa Liya Hai Lyrics - Rajendra Kumar
- Main Jogiya Jogiya Lyrics - Govinda, Sanjay Dutt
- Jo Majnu The Woh Chale Gaye Lyrics - Govinda, Sanjay Dutt
- Ek Aur Ek Gyarah Lyrics - Govinda, Sanjay Dutt
- Ek Haseen Sham Ko Dil Mera Kho Gaya Lyrics - Mohammed Rafi
- Aapne Apna Banaya Meherbani Aapki Lyrics - Lata Mangeshkar
- Mujhe Kitna Pyar Hai Tumse Lyrics - Dil Tera Diwana