Chamakte Chand Ko Lyrics - Awaargi


Chamakte Chand Ko Lyrics from Awaargi (1990): This is a lovely song from Awaargi starring Anil Kapoor, Meenakshi Seshadri, Govinda and Avtar Gill. It is sung by Ghulam Ali and composed by Anu Malik. Awaargi is a 1990 Hindi movie starring Anil Kapoor, Meenakshi Seshadri and Govinda.

Chamakte Chand Ko Lyrics - Awaargi

Chamakte Chand Ko Song Detail


Song: Chamakte Chand Ko
Album: Awaargi (1990)
Singer: Ghulam Ali
Musician: Anu Malik
Lyricist: Anand Bakshi
Star Cast: Anil Kapoor, Meenakshi Seshadri, Govinda etc.

Chamakte Chand Ko Lyrics

Chamakte chand ko
Chamakte chand ko toota hua tara bana dala
Chamakte chand ko toota hua tara bana dala
Meri awaargi ne mujhko awaara bana dala
Chamakte chand ko toota hua tara bana dala

Bada dilkash, bada rangeen hai
Yeh shehar kehte hain
Bada dilkash, bada rangeen hai
Yeh shehar kehte hain
Yahan par hain hazaron ghar

Gharon mein log rehte hain
Mujhe is shehar ne
Galiyon ka banjara bana dala
Chamakte chand ko toota hua tara bana dala

Main is duniya ko aksar
Dekhkar hairan hota hoon
Main is duniya ko aksar
Dekhkar hairan hota hoon
Na mujhse ban sakaa chhota sa
Ghar din rat rota hu
Khudaya toone kaise yeh
Jahan sara bana dala Chamakte chand ko toota hua tara bana dala

Mere maalik, mera dil kyun
Tadapta hai, sulagta hai
Mere maalik, mera dil kyun
Tadapta hai, sulagta hai
Teri marzi, teri marzi pe kiska zor chalta hai
Kisi ko gul, kisi ko toone angara bana dala
Chamakte chand ko toota hua tara bana dala

Yehi aghaz tha mera
Yehi anjam hona tha
Yehi aghaz tha mera
Yehi anjam hona tha
Mujhe barbaad hona tha
Mujhe nakaam hona tha
Mujhe takdeer ne takdeer ka mara bana dala
Chamakte chand ko toota hua tara bana dala
Chamakte chand ko toota hua tara bana dala
Meri awaargi ne mujhko awaara bana dala
Chamakte chand ko toota hua tara bana dala