Chal Kahin Door Nikal Jaayein Lyrics - Doosra Aadmi




Chal Kahin Door Nikal Jaayein Lyrics of Doosra Aadmi (1977): This is a lovely song from Doosra Aadmi starring Rishi Kapoor, Neetu Singh, Rakhee and Deven Verma. It is sung by Mohammad Rafi, Lata Mangeshkar and Kishore Kumar and composed by Rajesh Roshan. Doosra Aadmi is a 1977 Hindi movie starring Rishi Kapoor, Neetu Singh and Rakhee.

Chal Kahin Door Nikal Jaayein Lyrics

Kya mausam hai, aye deewane dil
Arre chal kahin door nikal jaayein
Chal kahin door nikal jaayein

Koi humdam hai, chahat ke kaabil
To kis liye hum sambhal jaayein
Chal kahin door nikal jaayein

Jhoom ke jab jab kabhi do dil gaate hain
Chaar kadam chalte hain phir kho jaate hain
Aisa hai to kho jaane do mujhko bhi aaj
Yeh kya kam hai do pal ko raahi
Arre mil jaayein behal jaayein
Chal kahin door nikal jaayein

Yeh mastiyan, yeh bahaar
Dil ho chala bekarar
Main girta hoon mujhe thaam lo
Bheege labon se mera naam lo
Duniya ko ab do nazar kyon aayein hum
Itne kareeb aao ke ek ho jaayein hum
Ke ek ho jaayein hum
Ke ek ho jaayein hum
Ke ek ho jaayein

Khoye se hum, khoyi si manzil
Achchha hai sambhal jaayein

Chal kahin door nikal jaayein
Achchha hai sambhal jaayein
Chal kahin door nikal jaayein
Achchha hai sambhal jaayein




Chal Kahin Door Nikal Jaayein Song Detail


Song: Chal Kahin Door Nikal Jaayein
Album: Doosra Aadmi (1977)
Singer: Mohammad Rafi, Lata Mangeshkar, Kishore Kumar
Musician: Rajesh Roshan
Lyricist: Majrooh Sultanpuri
Star Cast: Rishi Kapoor, Neetu Singh, Rakhee etc.