Bahut Din Huye Taron Ke Desh Mein Lyrics - Anuradha




Bahut Din Huye Taron Ke Desh Mein Lyrics from Anuradha is Hindi song in the voices of Lata Mangeshkar, Mahendra Kapoor, Manna Dey. Bahut Din Huye Taron Ke Desh Mein song lyrics are written by Shailendra, its music is given by Ravi. Anuradha is a 1960 Hindi movie starring Balraj Sahni, Leela Naidu and Baby Bano.

Bahut Din Huye Taron Ke Desh Mein Lyrics

Bahut din huye taron ke desh mein
Chada ki nagariya mein rehte the ik raja
Aji rehte the ik raja
Baj raha tha door door unki jai ka baja
Aji unki jai ka baja

Jaise the pratapi raja waisi unki rani
Haan waisi unki rani
Jaisa roop rang paya waisi gyani dhyani
Haan waisi gyani dhyani
Dono ki dulaari ek bitiya thi pyaari
Bitiya pyaari pyaari
Phool jaisi naazuk thi woh
Naam tha Phool Kumari
Woh naam tha Phool Kumari

Andhi takdeer ne
Andher kiya bhaari
Chheeni uske hothon se
Hansi woh pyaari pyaari

Phool Kumaari bhool gayi
Hasna muskurana
Arre hasna muskurana
Loot liya bhaag ne
Khushi ka wo khazana
Khushi ka wo khazana

Magar yeh kaun yeh kaisi awaz
Leke dil ka saaz hum
Geet gaane aa gaye
Hey leke dil ka saaz hum
Geet gaane aa gaye

Hey dil ke kaliyon ne kaha
Din suhane aa gaye
Hey dil se kaliyon ne kaha
Din suhane aa gaye

Gham ke baadal hat gaye
Khul gaya neela gagan
Har kali ko pyar se
Chhu gayi sooraj kiran
Hey muskura lo jhoom lo
Woh zamane aa gaye

Hey leke dil ka saaz hum
Geet gaane aa gaye
Dil se kaliyon ne kaha
Din suhane aa gaye




Bahut Din Huye Taron Ke Desh Mein Song Detail


Song: Bahut Din Huye Taron Ke Desh Mein
Album: Anuradha (1960)
Singer: Lata Mangeshkar, Mahendra Kapoor, Manna Dey
Musician: Ravi
Lyricist: Shailendra
Star Cast: Balraj Sahni, Leela Naidu, Baby Bano etc.