Badalon Se Kaat Kaat Ke Lyrics - Satya
Badalon Se Kaat Kaat Ke Lyrics from Satya is Hindi song sung by Bhupinder Singh. Badalon Se Kaat Kaat Ke song lyrics are written by Gulzar, its music is given by Vishal Bhardwaj. Satya is a 1998 Hindi movie starring Urmila Matondkar, Manoj Bajpayee and J. D. Chakravarthy.
Badalon Se Kaat Kaat Ke Lyrics
Badalon se kaat kaat ke
Kagazon pe naam jodna
Badalon se kaat kaat ke
Kagazon pe naam jodna
Yeh mujhe kya ho gaya
Arre yeh mujhe kya ho gaya
Doriyon se bandh bandh ke
Raat bhar chaand todna
Yeh mujhe kya ho gaya
Yeh mujhe kya ho gaya
Ek baar tumko jab baraste
Paniyon ke paar dekha tha
Yoon laga tha jaise gungunata
Ek aabshar dekha tha
Ek baar tumko jab baraste
Paniyon ke paar dekha tha
Yoon laga tha jaise gungunata
Ek aabshar dekha tha
Tab se meri neend mein barasti rehti ho
Bolti bohat ho aur hansti rehti ho
Jo tujhe jaanta na ho
Usse tera naam poochhna
Yeh mujhe kya ho gaya
Yeh mujhe kya ho gaya
Yeh mujhe kya ho gaya
Dekho yoon khule badan tum
Dekho yoon khule badan
Gulaabi saahilon pe aaya na karo
Tum namak bhare samundaron mein
Is tarah nahaya na karo
Saara din chandni si chhayi rehti hai
Aur gulaabi dhoop baukhlayi rehti hai
Jaamuno ki narm daal pe
Naakhunon se naam khodna
Yeh mujhe kya ho gaya
Yeh mujhe kya ho gaya
Badalon se kaat kaat ke
Kagazon pe naam jodna
Doriyon se bandh bandh ke
Raat bhar chaand todna
Yeh mujhe kya ho gaya
Badalon Se Kaat Kaat Ke Song Detail
Song: Badalon Se Kaat Kaat Ke
Album: Satya (1998)
Singer: Bhupinder Singh
Musician: Vishal Bhardwaj
Lyricist: Gulzar
Star Cast: Urmila Matondkar, Manoj Bajpayee, J. D. Chakravarthy etc.
Recently Added Songs
- Kudi Main Hoon Kunwari Lyrics - Twinkle Khanna
- Halka Halka Dard Hai Lyrics - Akshay Kumar
- Chhukar Tere Mann Ko Lyrics - Akshay Kumar
- Tumhe Paa Ke Humne Jahan Paa Liya Hai Lyrics - Rajendra Kumar
- Main Jogiya Jogiya Lyrics - Govinda, Sanjay Dutt
- Jo Majnu The Woh Chale Gaye Lyrics - Govinda, Sanjay Dutt
- Ek Aur Ek Gyarah Lyrics - Govinda, Sanjay Dutt
- Ek Haseen Sham Ko Dil Mera Kho Gaya Lyrics - Mohammed Rafi
- Aapne Apna Banaya Meherbani Aapki Lyrics - Lata Mangeshkar
- Mujhe Kitna Pyar Hai Tumse Lyrics - Dil Tera Diwana