Aye Malik Tere Bande Hum Lyrics - Do Aankhen Barah Haath
Aye Malik Tere Bande Hum Lyrics of Do Aankhen Barah Haath (1957): This is a lovely song from Do Aankhen Barah Haath starring V Shantaram, Sandhya, David and Date. It is sung by Lata Mangeshkar and V Shantaram and composed by Vasant Desai. Do Aankhen Barah Haath is a 1957 Hindi movie starring V Shantaram, Sandhya and David.
Aye Malik Tere Bande Hum Lyrics
Aye malik tere bande hum
Aise hon hamare karam
Neki par chalein aur badi se talein
Taaki hanste huye nikle dam
Aye malik tere bande hum
Bada kamzor hai aadmi
Abhi lakhon hain ismein kami
Par tu jo khada hai dayaalu bada
Teri kripa se dharti thami
Diya tune hamein jab janam
Tu hi jhelega hum sab ke gham
Neki par chalein aur badi se talein
Taaki hanste huye nikle dam
Aye malik tere bande hum
Yeh andhera ghana chha raha
Tera insan ghabra raha
Ho raha bekhabar, kuchh na aata nazar
Sukh ka sooraj chhipa ja raha
Hai teri roshni mein woh dam
Jo amaavas ko kar de poonam
Neki par chalein aur badi se talein
Taaki hanste huye nikle dam
Aye malik tere bande hum
Jab zulmon ka ho saamna
Tab tu hi hamein thamna
Woh buraai karein, hum bhalai bharein
Nahin badle ki ho kaamna
Badh uthe pyar ka har kadam
Aur mite bair ka yeh bharam
Neki par chalein aur badi se talein
Taaki hanste huye nikle dam
Aye malik tere bande hum
Aye Malik Tere Bande Hum Song Detail
Song: Aye Malik Tere Bande Hum
Album: Do Aankhen Barah Haath (1957)
Singer: Lata Mangeshkar, V. Shantaram
Musician: Vasant Desai
Lyricist: Bharat Vyas
Star Cast: V Shantaram, Sandhya, David etc.
Recently Added Songs
- Kudi Main Hoon Kunwari Lyrics - Twinkle Khanna
- Halka Halka Dard Hai Lyrics - Akshay Kumar
- Chhukar Tere Mann Ko Lyrics - Akshay Kumar
- Tumhe Paa Ke Humne Jahan Paa Liya Hai Lyrics - Rajendra Kumar
- Main Jogiya Jogiya Lyrics - Govinda, Sanjay Dutt
- Jo Majnu The Woh Chale Gaye Lyrics - Govinda, Sanjay Dutt
- Ek Aur Ek Gyarah Lyrics - Govinda, Sanjay Dutt
- Ek Haseen Sham Ko Dil Mera Kho Gaya Lyrics - Mohammed Rafi
- Aapne Apna Banaya Meherbani Aapki Lyrics - Lata Mangeshkar
- Mujhe Kitna Pyar Hai Tumse Lyrics - Dil Tera Diwana