Aye Khuda Dard-o-Gham Lyrics - Tum Hi To Ho


Aye Khuda Dard-o-Gham Lyrics from Tum Hi To Ho: This is a very well sung song by Kunal Ganjawala and Gayatri Ganjawala with nicely composed music by Anand and Milind. Lyrics of Aye Khuda Dard-o-gham are beautifully penned by Ravi Chopra. Tum Hi To Ho is a 2011 Hindi movie starring Madhavi Sharma, Jackie Shroff and Kishori Shahane.

Aye Khuda Dard-o-Gham Lyrics - Tum Hi To Ho

Aye Khuda Dard-o-Gham Song Detail


Song: Aye Khuda Dard-o-Gham
Album: Tum Hi To Ho (2011)
Singer: Kunal Ganjawala, Gayatri Ganjawala
Musician: Anand, Milind
Lyricist: Ravi Chopra
Star Cast: Madhavi Sharma, Jackie Shroff, Kishori Shahane etc.

Aye Khuda Dard-o-Gham Lyrics

Aye khuda dard-o-gham ka silsila
Aaj isi dam tod de
Zindagi lamha lamha mat chala
Mera daaman chod de
Saans lena lage ab saza
Kya karoonga main jee ke bata
Kya karoonga main jee ke bata

Koyi humsafar na koyi hum-nawa
Palkon mein chubhe bas yaadon ka dhuan
Koyi humsafar na koyi hum-nawa

Palkon mein chubhe bas yaadon ka dhuan
Dil mein kuchh nahi zakhmon ke siva haan
Nakaam ho gayi har dava, har dua
Gham kiye hain khushi ne ataa
Kya karoonga main jee ke bata
Kya karoonga main jee ke bata

Ruk jaaye saanson ka silsila
Dil dhadakna chhod de
Pyar mera jaana jis din tujhe
Pyar karna chhod de
Main jiyoon tujh se ho ke judaa
Na dikhaye hai woh din khuda Na dikhaye hai woh din khuda

Jab bhi tasavvur tera hota hai mere pehlu mein
Teri khushbuon ne meri saanson mein utar jaati hain
Meri tanhaiyan jab aati hain tere kareeb
Khwaahishein sabra ki sarhad se guzar jaati hain
Hmm arre arre arre yeh kya kiya tumne?
Main yeh chahata hun ke yeh hawayein, yeh fizayein sab jaan lein
Ke tum kitni khoobsurat ho

Lamha lamha tera ehsas mujhe chhoota hai
Rafta rafta main tere rang mein dhal jaati hun
Main tujhe apne khayaalon mein bulakar aksar
Jannaton se bhi kahin door nikal jaati hun
Ha ha ha aur tumne aisa kyun kiya
Main chahati hun ke yeh hawayein, yeh fizayein yeh jaan lein
Ki tum mere ho, tum hi to ho

Baahon mein teri meri raatein hon basar
Jaagoon har sehar bas tujhko dekh kar
Baahon mein teri meri raatein hon basar
Jaagoon har sehar bas tujhko dekh kar
Main tere ishq mein khud se hun bekhabar haan
Bin tere, bin tere kuchh na aaye nazar
Teri chahat ho mujhse khafa
Na dikhaaye hai woh din khuda
Na dikhaaye hai woh din khuda