Aye Kaash Dil-e-Nadan Lyrics - Imaandaar


Aye Kaash Dil-e-Nadan Lyrics from Imaandaar is Hindi song in the voices of Anjana, Prakash Mehra, Suresh Wadkar. Aye Kaash Dil-e-nadan song lyrics are written by Prakash Mehra, its music is given by Kalyanji Anandji. Imaandaar is a 1987 Hindi movie starring Sanjay Dutt, Farha and Vikas Anand.

Aye Kaash Dil-e-Nadan Lyrics - Imaandaar

Aye Kaash Dil-e-Nadan Song Detail


Song: Aye Kaash Dil-e-Nadan
Album: Imaandaar (1987)
Singer: Anjana, Prakash Mehra, Suresh Wadkar
Musician: Kalyanji Anandji
Lyricist: Prakash Mehra
Star Cast: Sanjay Dutt, Farha, Vikas Anand etc.

Aye Kaash Dil-e-Nadan Lyrics

Aye kaash dil-e-nadan
Aye kaash dil-e-nadan
Aisa na kiya hota
Pyaar kiya hota
Sauda na kiya hota
Pyaar kiya hota
Sauda na kiya hota
Aye kaash dil-e-nadan

Vaada wafa ka humne
Kis mod pe hai toda

Vaada wafa ka humne
Kis mod pe hai toda
Hanste kisi chaman ko
Veeran karke chhoda
Veeran karke chhoda

Masoom kisi dil ko
Dhokha na diya hota
Masoom kisi dil ko
Dhokha na diya hota
Pyaar kiya hota
Sauda na kiya hota
Aye kaash dil-e-nadan

Khwabon ke aashiyan pe
Bijli girayi humne
Khwabon ke aashiyan pe
Bijli girayi humne
Daulat se mohabbat ki
Keemat lagayi humne
Keemat lagayi humne

Neelaam main hua tha
Dil to na bika hota
Neelaam main hua tha
Dil to na bika hota
Pyaar kiya hota
Sauda na kiya hota
Aye kaash dil-e-nadan

Ek bezubaan dil ki
Duniya tabaah karke
Ek bezubaan dil ki
Duniya tabaah karke
Laute hain aaj hum
Yeh kaisa gunaah karke
Kaisa gunaah karke

Yoon naam mohabbat ka
Ruswa na kiya hota
Yoon naam mohabbat ka
Ruswa na kiya hota
Pyaar kiya hota
Sauda na kiya hota

Aye kaash dil-e-nadan
Aisa na kiya hota
Pyaar kiya hota
Sauda na kiya hota
Aye kaash dil-e-nadan