Allah Karam Karna Lyrics - Dada


Allah Karam Karna Lyrics from Dada is Hindi song sung by Suman Kalyanpur. Allah Karam Karna song lyrics are written by Gauhar Kanpuri, its music is given by Usha Khanna. Dada is a 1979 Hindi movie starring Vinod Mehra, Bindiya Goswami and Amjad Khan.

Allah Karam Karna Lyrics - Dada

Allah Karam Karna Song Detail


Song: Allah Karam Karna
Album: Dada (1979)
Singer: Suman Kalyanpur
Musician: Usha Khanna
Lyricist: Gauhar Kanpuri
Star Cast: Vinod Mehra, Bindiya Goswami, Amjad Khan etc.

Allah Karam Karna Lyrics

Hum sabko nek raah
Chalana mere allah
Bandon ko burayi se
Bachana mere allah

Allah karam karna
Maula tu reham karna
Allah karam karna
Maula tu reham karna

Ik waakeya sunati hoon
Main apni zubaani

Apne badon se maine
Suni hai yeh kahani
Rehta tha kisi shehar mein
Ek aisa bhi insaan
Jo naam ka muslim tha
Magar kaam ka shaitan

Zalim ko zor e baazu
Pe apne guroor tha
Yaani ke bekhudi mein
Khuda se woh door tha
Sab log use kehte the
Jallad sitamgar Masoom ki fariyaad ka
Uspe na tha asar

Jo vaada usne kar liya
Woh karke dikhaya
Paison ke liye qatl kiye
Khoon bahaya
Ek din woh behta khoon
Asar uspe kar gaya
Insaan zinda ho gaya
Shaitan mar gaya

Allah karam karna
Maula tu reham karna
Allah karam karna
Maula tu reham karna

Imaan jise kehte hain
Farmaan e khuda hai
Quraan ke har lafz mein
Uski hi sada hai
Allah ne bakshi hai
Jo imaan ki daulat
Yeh sabse badi cheez hai
Insaan ki daulat

Soye huye dilon ko
Jagata hai yeh imaan
Bhatke huon ko raah
Dikhata hai yeh imaan
Imaan ki garmi se
Pighal jaate hain patthar
Is noor se bante hain
Sawarte hain mukaddar

Jo sabse pyar karta hai
Insaan wohi hai
Muslim hai wohi
Sahib e imaan wohi hai

Allah karam karna
Maula tu reham karna
Allah karam karna
Maula tu reham karna

Jis kaam ke karne pe
Na ho raazi koyi dil
Woh kaam bhi is duniya mein
Nafrat ke hai kaabil
Jo kuchh bhi zubaan keh de
Woh ikraar nahi hai
Laghzish hai labon ki
Woh gunehgaar nahi hai

Jo dil se nahi karta
Burai ka irada
Allah se woh tauba
Kare tod de vaada
Jaldi jo sambhal jaaye
Woh nadaan nahi hai
Imaan jismein ho
Woh beimaan nahi hai

Duniya mein hamesha
To nahi rehta andhera
Insaan jahan jaage
Wahin pe hai savera

Allah karam karna
Maula tu reham karna
Allah karam karna
Maula tu reham karna

Jo sacche dil se karta hai
Imaan ki aarzu
Allah ki nazron mein
Woh hota hai surkh rooh
Imaan mein kya kya na saha
Pyare nabi ne
Kya aisi museebat bhi
Uthayi hai kisi ne

Karbal ke shaheedon ne
Sabak humko padhaya
Sajde mein deke jaan ko
Imaan bachaya
Is raah mein jo sehte hain
Takleef o museebat
Ik roz unpe hoti hai
Allah ki rehmat

Insaan hai woh jo
Doosron ka dil na dukhaye
Pad jaaye agar jaan
Pe to jaan lutaye

Allah karam karna
Maula tu reham karna
Allah karam karna
Maula tu reham karna