Aji Rooth Kar Ab Kahan Jaiyega Lyrics - Arzoo
Aji Rooth Kar Ab Kahan Jaiyega Lyrics from Arzoo is Hindi song sung by Lata Mangeshkar. Aji Rooth Kar Ab Kahan Jaiyega song lyrics are written by Hasrat Jaipuri, its music is given by Shankar and Jaikishan. Arzoo is a 1965 Hindi movie starring Rajendra Kumar, Sadhana and Mehmood.
Aji Rooth Kar Ab Kahan Jaiyega Song Detail
Song: Aji Rooth Kar Ab Kahan Jaiyega
Album: Arzoo (1965)
Singer: Lata Mangeshkar
Musician: Shankar, Jaikishan
Lyricist: Hasrat Jaipuri
Star Cast: Rajendra Kumar, Sadhana, Mehmood etc.
Aji Rooth Kar Ab Kahan Jaiyega Lyrics
Aji rooth kar ab kahan jaiyega
Jahan jaiyega humein paiyega
Aji rooth kar ab kahan jaiyega
Jahan jaiyega humein paiyega
Aji rooth kar ab
Nigahon se chhup kar dikhao to jaanein
Khayalo mein bhi tum na aao to jaanein
Aji lakh pardon mein chhup jaiyega
Aji lakh pardon mein chhup jaiyega
Nazar aaiyega nazar aaiyega
Aji rooth kar ab kahan jaiyega
Jahan jaiyega humein paiyega
Aji rooth kar ab
Jo dil mein hai hothon pe lana bhi mushkil
Magar usko dil mein chhupana bhi mushkil
Nazar ki zuban se samajh jaiyega
Nazar ki zuban se samajh jaiyega
Samajh kar zara gaur farmaiyega
Aji rooth kar ab kahan jaiyega
Jahan jaiyega humein paiyega
Aji rooth kar ab
Yeh kaisa nasha hai yeh kaisa asar hai
Na kabu mein dil hai na bas mein jigar hai
Zara hosh aa le chale jaiyega
Zara hosh aa le chale jaiyega
Thehar jaiyega thehar jaiyega
Aji rooth kar ab kahan jaiyega
Jahan jaiyega humein paiyega
Aji rooth kar ab kahan jaiyega
Jahan jaiyega humein paiyega
Aji rooth kar ab