Agar Sansar Mein Aurat Na Hoti Lyrics - Grahasti


Agar Sansar Mein Aurat Na Hoti Lyrics from Grahasti is Hindi song sung by Mohammad Rafi. Agar Sansar Mein Aurat Na Hoti song lyrics are written by Shakeel Badayuni, its music is given by Ravi. Grahasti is a 1963 Hindi movie starring Ashok Kumar, Manoj Kumar and Rajshree.

Agar Sansar Mein Aurat Na Hoti Lyrics - Grahasti

Agar Sansar Mein Aurat Na Hoti Song Detail


Song: Agar Sansar Mein Aurat Na Hoti
Album: Grahasti (1963)
Singer: Mohammad Rafi
Musician: Ravi
Lyricist: Shakeel Badayuni
Star Cast: Ashok Kumar, Manoj Kumar, Rajshree etc.

Agar Sansar Mein Aurat Na Hoti Lyrics

Woh aurat hai jo insanon ki
Unchi shaan karti hai
Zarurat ho to apna pyar bhi
Kurbaan karti hai

Agar sansar mein aurat na hoti
To insanon ki yej izzat na hoti
Agar sansar mein aurat na hoti
To insanon ki yej izzat na hoti

Jahan wale ne duniya ko racha ke
Anokha maan duniya ko diya hai

Magar aurat ki hasti ko bana ke
Khud apne naam ko ucha kiya hai

Agar aurat ko woh paida na karta
Mohabbat ki koyi keemat na hoti

Agar sansar mein aurat na hoti
To insanon ki yej izzat na hoti
Agar sansar mein aurat na hoti
To insanon ki yej izzat na hoti

Kahin mata ka lekar roop usne
Bade hi pyar se bacchon ko pala
Kahin patni ka lekar roop usne
Kiya hai ghar ki duniya mein ujala

Grihasthi hai isi ke dum se warna
Gharon ki zindagi jannat na hoti

Agar sansar mein aurat na hoti
To insanon ki yej izzat na hoti
Agar sansar mein aurat na hoti
To insanon ki yej izzat na hoti