Ab Kya Misaal Doon Main Lyrics - Aarti

Ab Kya Misaal Doon Main Lyrics from the movie Aarti is sung by Mohammad Rafi, its music is composed by Roshan and lyrics are written by Majrooh Sultanpuri. Aarti is a 1962 musical, romantic Hindi movie starring Ashok Kumar, Pradeep Kumar, Meena Kumari, Shashikala and Rajendra Nath. It is produced by Tarachand Barjatya and directed by Phani Mazumdar. Lyrics of Ab Kya Misaal Doon Main song is given below.

Ab Kya Misaal Doon Main Lyrics - Aarti

Ab Kya Misaal Doon Main Song Detail


Song: Ab Kya Misaal Doon Main
Album: Aarti (1962)
Singer: Mohammad Rafi
Musician: Roshan
Lyricist: Majrooh Sultanpuri
Star Cast: Ashok Kumar, Pradeep Kumar, Meena Kumari, Shashikala, Rajendra Nath etc.
Director: Phani Mazumdar

Ab Kya Misaal Doon Main Lyrics

Ab kya misaal doon main tumhare shabab ki
Insan ban gayi hai kiran mahtab ki
Ab kya misaal doon

Chehre mein ghul gaya hai haseen chandni ka noor
Aankhon mein hai chaman ki jawan raat ka suroor
Gardan hai ek jhuki huyi daali, daali gulaab ki
Ab kya misaal doon main tumhare shabab ki
Ab kya misaal doon

Gesu khule to shaam ke dil se dhuan uthe
Chhoo le kadam to jhuk ke na phir aasman uthe
Sau baar jhil-milaye shama, shama aftaab ki
Ab kya misaal doon

Deevar-o-dar ka rang, yeh aanchal, yeh pairhan
Ghar ka mere charag hai boota sa yeh badan
Tasveer ho tumhi mere jannat ke Jannat ke khwaab ki
Ab kya misaal doon main tumhare shabab ki
Insan ban gayi hai kiran mahtab ki
Ab kya misaal doon



More Lyrics From Aarti