Aaye Na Ab Tak Balma Lyrics - Daag




Aaye Na Ab Tak Balma Lyrics from Daag is Hindi song sung by Lata Mangeshkar and music is given by Shankar Jaikishan. Aaye Na Ab Tak Balma song lyrics are written by Hasrat Jaipuri. Daag is a 1952 Hindi movie starring Dilip Kumar, Nimmi and Usha Kiran.

Aaye Na Ab Tak Balma Lyrics

Maut aa gayi
Na aayenge marne ke baad bhi
Aankhein tadapti reh gayi
Is intezaar mein

Kaahe ko der lagai re
Aaye na ab tak balma
Humne to jaan ganwayi re
Aaye na ab tak balma
Kaahe ko der lagai re
Aaye na ab tak balma


Meri dua nakaam huyi hai
Suraj dooba shaam huyi hai
Pehne kafan jayegi mohabbat
Dil ki lagi badnaam huyi hai

Hansti hai saari kudai re
Aaye na ab tak balma
Kaahe ko der lagai re
Aaye na ab tak balma

Raunakein duniya yunhi rahegi
Aayengi khushiyan gham bhi sahegi
Lekin meri barbaad jawani
Mit ke bhi unse yahi kahegi


Humse to ki bewafai re
Aaye na ab tak balma
Kaahe ko der lagai re
Aaye na ab tak balma

Rang yeh laayi chahat kisi ki
Yaad rahegi ulfat kisi ki
Meri kasam tujhe
Meri kasam tujhe maut thehar ja
Dekh to loon main surat kisi ki

Humne to preet nibhai re
Aaye na ab tak balma
Kaahe ko der lagai re
Aaye na ab tak balma
Humne to jaan ganwayi re
Aaye na ab tak balma




Aaye Na Ab Tak Balma Song Detail


Song: Aaye Na Ab Tak Balma
Album: Daag (1952)
Singer: Lata Mangeshkar
Musician: Shankar Jaikishan
Lyricist: Hasrat Jaipuri
Star Cast: Dilip Kumar, Nimmi, Usha Kiran etc.