Aaya Aaya Yaar Ka Salam Lyrics - Jaisi Karni Waisi Bharni


Aaya Aaya Yaar Ka Salam Lyrics from Jaisi Karni Waisi Bharni is sung by Mohammad Aziz and Sadhana Sargam. Aaya Aaya Yaar Ka Salam song lyrics are written by Indeevar while its music is given by Rajesh Roshan. Jaisi Karni Waisi Bharni is a 1989 Hindi movie starring Govinda, Kimi Katkar and Asrani.

Aaya Aaya Yaar Ka Salam Lyrics - Jaisi Karni Waisi Bharni

Aaya Aaya Yaar Ka Salam Song Detail


Song: Aaya Aaya Yaar Ka Salam
Album: Jaisi Karni Waisi Bharni (1989)
Singer: Mohammad Aziz, Sadhana Sargam
Musician: Rajesh Roshan
Lyricist: Indeevar
Star Cast: Govinda, Kimi Katkar, Asrani etc.

Aaya Aaya Yaar Ka Salam Lyrics

Salam salam salam salam

Aaya aaya yaar ka salam
Pyar se mere naam
Aaya aaya yaar ka salam
Pyar se mere naam

Aankhon mein rehne laga tu
Saanson mein basne laga tu
Dilruba meri zindagi
Aaj se tere naam

Aaya aaya yaar ka salam

Pyar se mere naam
Aaya aaya yaar ka salam
Pyar se mere naam

Na koyi deewar na koyi pehra
Humko nahi koyi khauf-e-judayi
Na koyi deewar na koyi pehra
Humko nahi koyi khauf-e-judayi

Aaj milaya aise khuda ne
Mil gayi ho humko jaise kudayi
Ho ho ho ho ho

Toone kubool kiya hai
Hath jo thaam liya hai Na jaane kab ki yeh dua
Aa gayi mere kaam

Aaya aaya yaar ka salam
Pyar se mere naam
Aaya aaya yaar ka salam
Pyar se mere naam

Khwabon ko tone hakeekat mein badla
Khushiyon ki baraat leke tu aaya
Khwabon ko tone hakeekat mein badla
Khushiyon ki baraat leke tu aaya
Banke dulhan mere ghar aa gayi tu
Dil se lipatne laga tera saaya

Kal tak rahe jo adhoore
Armaan huye aaj poore
Honthon ko aab-e-hayaat mila
Tod diya maine jaam

Aaya aaya yaar ka salam
Pyar se mere naam
Aaya aaya yaar ka salam
Pyar se mere naam

Aankhon mein rehne laga tu
Saanson mein basne laga tu
Dilruba meri zindagi
Aaj se tere naam

Aaya aaya yaar ka salam
Pyar se mere naam
Aaya aaya yaar ka salam
Pyar se mere naam



More Lyrics From Jaisi Karni Waisi Bharni