Aashiq Ho To Aisa Ho Lyrics - Noorie


Aashiq Ho To Aisa Ho Lyrics from Noorie is Hindi song sung by Jagjeet Kaur, Mahendra Kapoor, SK Mahan and music is given by Khayyam. Aashiq Ho To Aisa Ho song lyrics are written by Jan Nisar Akhtar. Noorie is a 1979 Hindi movie starring Farooq Shaikh, Poonam Dhillon and Madan Puri.

Aashiq Ho To Aisa Ho Lyrics - Noorie

Aashiq Ho To Aisa Ho Song Detail


Song: Aashiq Ho To Aisa Ho
Album: Noorie (1979)
Singer: Jagjeet Kaur, Mahendra Kapoor, S.K. Mahan
Musician: Khayyam
Lyricist: Jan Nisar Akhtar
Star Cast: Farooq Shaikh, Poonam Dhillon, Madan Puri etc.

Aashiq Ho To Aisa Ho Lyrics

Kasam hai yaar teri
Tere yaaron ko maza aaya
Yeh tera jazba-e-dil tha
Ki dilbar khud khincha aaya

Sabhi tapte rahe the dil mein
Sabhi jalte rahe the dil mein
Jahan tak takta raha
Mashooq baahon mein chala aaya

To matlab yeh hua
Ke aashiq ho to

Ke aashiq ho to aisa ho
Ke aashiq ho to aisa ho
Ke aashiq ke aashiq ke aashiq
Aashiq aashiq aashiq
Aashiq ho to aisa ho
Ke aashiq ho to aisa ho

Dil ko dildaar mila
Pyar ko pyar mila
Aankh se aankh mili
Taar se taar mila
Ke ishq ko aaj koyi
Naaz bardaar mila Har tawajo ke liye
Husn taiyar mila

Husn mash-hoor hai
Ki naame wafa dene ko
Apna sab kuchh kisi
Aashiq pe luta dene ko

Ishq is gul se saja leta hai
Gulshan apna
Sirf ik phool se bhar leta hai
Daaman apna

Ke aashiq ho to
Haan ke dilbar ho to
Na na na

Ke aashiq ho to aisa ho
Ke dilbar ho to aisi ho
Ke aashiq ke aashiq ke aashiq
Aashiq aashiq aashiq
Aashiq ho to aisa ho
Ke dilbar ke dilbar ke dilbar
Dilbar dilbar dilbar
Dilbar ho to aisi ho
Ke dilbar ho to aisi ho

Haaye
Sirf aahein jo bhare
Usko aashiq na kaho
Door se pyar kare
Usko aashiq na kaho
Gham mein chup chaap mare
Usko aashiq na kaho
Jo zamane se dare
Usko aashiq na kaho

Saamna ismein har ek aan hai
Bedardon ka
Ishq pesha hai meri jaan
Jawan mardon ka
Ispe marte hain koyi harf
Na aane paaye
Hath se daaman-e-mehboob
Na jaane paaye

Ke aashiq ho to
Arre ja ke dilbar ho to
Aa aa aa ke aashiq ho to aisa ho
Ke dilbar ho to aisi ho

Jaise Majnu jaise Farhaad
Jaise Mahiwaal Raanjhe jaisa
Aashiq ho to aisa ho haan
Jaise Laila jaisi Shirin
Jaise Sohni Heer jaisi
Dilbar ho to aisi ho
Ke dilbar ho to aisi ho

Hum to yeh jaante hain
Yaar ke yaar hain hum
Aazma humko kabhi
Pyar hi pyar hain hum
Jaan dene ke liye
Tujhpe taiyar hain hum
Hum koyi ghair nahi
Tere ghamkhaar hain hum

Haan
Husnwale koyi jaadu sa
Jaga dete hain
Yaar do roz mein yaaron ko
Bhula dete hain
Baat jab hai te nasha ishq ka
Taari bhi rahe
Husn se pyar rahe
Yaaron se yaari bhi rahe
Yaaron se yaari bhi rahe
Yaaron se yaari bhi rahe
Yaaron se yaaron se yaari bhi rahe

Ke aashiq ho to
Ja ja ja ke dilbar ho to
Ke ke ke ke ke
Ke aashiq ho to aisa ho
Ke dilbar ho to aisi ho
Ke aashiq ke dilbar
Ke aashiq dilbar aashiq dilbar
Aashiq ho to aisa ho
Ke dilbar ho to aisi ho