Aana Hai To Aa Lyrics - Naya Daur
Aana Hai To Aa Lyrics from Naya Daur is Hindi song sung by Mohammed Rafi. Aana Hai To Aa song lyrics are written by Sahir Ludhianvi, its music is given by O P Nayyar. Naya Daur is a 1957 Hindi movie starring Dilip Kumar, Ajit and Jeevan.

Aana Hai To Aa Song Detail
Song: Aana Hai To Aa
Album: Naya Daur (1957)
Singer: Mohammed Rafi
Musician: O. P. Nayyar
Lyricist: Sahir Ludhianvi
Star Cast: Dilip Kumar, Ajit, Jeevan etc.
Aana Hai To Aa Lyrics
Aana hai to aa raah mein
Kuchh pher nahi hai
Bhagwan ke ghar der hai
Andher nahi hai
Aana hai to aa raah mein
Kuchh pher nahi hai
Bhagwan ke ghar der hai
Andher nahi hai
Aana hai to aa raah mein
Kuchh pher nahi hai
Andher nahi hai
Aana hai to aa
Jab tujhse na suljhein
Tere uljhe huye dhandhe
Jab tujhse na suljhein
Tere uljhe huye dhandhe
Bhagwan ke insaaf pe
Sab chhod de bande
Khud hi teri mushkil ko aasan karega
Khud hi teri mushkil ko aasan karega
Jo tu nahi kar paya woh bhagwan karega
Jo tu nahi kar paya woh bhagwan karega
Bhagwan karega
Aana hai to aa raah mein
Kuchh pher nahi hai
Bhagwan ke ghar der hai
Andher nahi hai
Aana hai to aa
Kehne ki zarurat nahi
Aana hi bohat hai
Kehne ki zarurat nahi
Aana hi bohat hai
Is dar pe tera sheesh
Jhukana hi bohat hai
Jo kuchh hai tere dil mein
Woh sab usko khabar hai
Jo kuchh hai tere dil mein
Woh sab usko khabar hai
Bande tere har haal pe
Malik ko nazar hai
Bande tere har haal pe
Malik ko nazar hai
Malik ko nazar hai
Aana hai to aa raah mein
Kuchh pher nahi hai
Bhagwan ke ghar der hai
Andher nahi hai
Aana hai to aa
Bin maange bhi milti hain
Yahan man ki muradein
Bin maange bhi milti hain
Yahan man ki muradein
Dil saaf ho jinka
Woh yahan aake saja dein
Milta hai jahan nyay
Woh darbaar yahi hai
Milta hai jahan nyay
Woh darbaar yahi hai
Sansar ki sabse badi
Sarakar yahi hai
Sansar ki sabse badi
Sarakar yahi hai
Sarakar yahi hai
Aana hai to aa raah mein
Kuchh pher nahi hai
Bhagwan ke ghar der hai
Andher nahi hai
Aana hai to aa