Aahatein Lyrics - Ek Main Aur Ekk Tu
Aahatein Lyrics of Ek Main Aur Ekk Tu (2012) is penned by Amitabh Bhattacharya, it's composed by Amit Trivedi and sung by Shilpa Rao and Karthik. Ek Main Aur Ekk Tu is a 2012 Hindi movie starring Imran Khan, Kareena Kapoor and Sonia Mehra.
Aahatein Lyrics
Chhoti chhoti baatein yun hi aate jaate
Yaadein sehla ke jaati hain
Raaton ko sirhane, baasi muskanein
Mujhko sula ke jaati hai
Milna nahi hai mumkin, itna batao lekin
Hum phir mile kyun hain
Tujhko bula na paaoon
Tujhko bhula na paaoon
Yeh silsile kyun hain
Sab kuchh wohi hai, par kuchh kami hai
Teri aahatein nahi hain x (2)
Nahi hain..
Maine nahi jaana, toone nahi jaana
Jaane anjane jo hua
Kuchh to hua jo, mujhko hua na
Tujhko magar kyun hua
Galti nahi hai teri, galti nahi hai meri
Phir bhi gile kyun hain
Tujhko bula na paaoon
Tujhko bhula na paaoon
Yeh silsile kyun hain
Sab kuchh wohi hai [wohi hai]
Par kuchh kami hai [kami hai]
Teri aahatein nahi hain
Sab kuchh wohi hai, par kuchh kami hai
Teri aahatein nahi hain
Nahi hain, nahi hain
Teri aahatein nahi hai, aahatein nahi hai
Teri aahatein nahi hai x (2)
Kyun, kyun nahi hai
Aahatein Song Detail
Song: Aahatein
Album: Ek Main Aur Ekk Tu (2012)
Singer: Shilpa Rao, Karthik
Musician: Amit Trivedi
Lyricist: Amitabh Bhattacharya
Star Cast: Imran Khan, Kareena Kapoor, Sonia Mehra etc.
Recently Added Songs
- Kudi Main Hoon Kunwari Lyrics - Twinkle Khanna
- Halka Halka Dard Hai Lyrics - Akshay Kumar
- Chhukar Tere Mann Ko Lyrics - Akshay Kumar
- Tumhe Paa Ke Humne Jahan Paa Liya Hai Lyrics - Rajendra Kumar
- Main Jogiya Jogiya Lyrics - Govinda, Sanjay Dutt
- Jo Majnu The Woh Chale Gaye Lyrics - Govinda, Sanjay Dutt
- Ek Aur Ek Gyarah Lyrics - Govinda, Sanjay Dutt
- Ek Haseen Sham Ko Dil Mera Kho Gaya Lyrics - Mohammed Rafi
- Aapne Apna Banaya Meherbani Aapki Lyrics - Lata Mangeshkar
- Mujhe Kitna Pyar Hai Tumse Lyrics - Dil Tera Diwana