Yeh Jo Chilman Hai Lyrics - Mehboob Ki Mehandi


Yeh Jo Chilman Hai Lyrics from Mehboob Ki Mehandi is sung by Mohammad Rafi and written by Anand Bakshi. Music of Yeh Jo Chilman Hai is composed by Laxmikant and Pyarelal. Mehboob Ki Mehandi is a 1971 Hindi movie starring Rajesh Khanna, Leena Chandavarkar and Pradeep Kumar.

Yeh Jo Chilman Hai Lyrics - Mehboob Ki Mehandi

Yeh Jo Chilman Hai Song Detail


Song: Yeh Jo Chilman Hai
Album: Mehboob Ki Mehandi (1971)
Singer: Mohammad Rafi
Musician: Laxmikant, Pyarelal
Lyricist: Anand Bakshi
Star Cast: Rajesh Khanna, Leena Chandavarkar, Pradeep Kumar etc.

Yeh Jo Chilman Hai Lyrics

Yeh jo chilman hai dushman hai hamari
Yeh jo chilman hai dushman hai hamari
Kitni sharmeeli ho
Kitni sharmeeli dulhan hai hamari
Yeh jo chilman hai

Doosra aur koyi yahan kyun rahe
Doosra aur koyi yahan kyun rahe
Husn aur ishq ke darmiyan kyun rahe
Darmiyan kyun rahe
Yeh yahan kyun rahe

Haan ji haan kyun rahe

Yeh jo anchal hai shikwa hai hamara
Kyun chhupata hai chehra yeh tumhara
Haye yeh jo chilman hai

Kaise deedar aashiq tumhara kare
Kaise deedar aashiq tumhara kare
Rookhe roshan ka kaise nazara kare
Ho nazara kare, ho ishara kare
Haan pukara kare

Yeh jo gesu hain baadal hain kasam se
Kaise bikhre hain gaalon pe sanam ke
Ho yeh jo chilman hai

Rukh se parda zara jo sarakne laga
Rukh se parda zara jo sarakne laga
Uff yeh kambakht dil kyun dhadakne laga
Ho dhadakne laga, haan bhadakne laga
Dum atakne laga

Yeh jo dhadkan hai dushman hai hamari
Kaise dil sambhle uljhan hai hamari
Ho yeh jo chilman hai dushman hai hamari