Woh Kya Hai Ek Mandir Hai Lyrics - Anuraag


Woh Kya Hai Ek Mandir Hai Lyrics from the movie Anuraag is sung by Mohammad Rafi and Lata Mangeshkar, its music is composed by S D Burman and lyrics are written by Anand Bakshi. Anuraag is a 1972 Hindi movie starring Vinod Mehra, Moushmi Chatterjee and Satyajit Puri.

Woh Kya Hai Ek Mandir Hai Lyrics - Anuraag

Woh Kya Hai Ek Mandir Hai Song Detail


Song: Woh Kya Hai Ek Mandir Hai
Album: Anuraag (1972)
Singer: Mohammad Rafi, Lata Mangeshkar
Musician: S. D. Burman
Lyricist: Anand Bakshi
Star Cast: Vinod Mehra, Moushmi Chatterjee, Satyajit Puri etc.

Woh Kya Hai Ek Mandir Hai Lyrics

Tere nainon ke main deep jalaunga
Tere nainon ke main deep jalaunga
Apni aankhon se duniya dikhlaunga

Achcha! woh kya hai, ek mandir hai
Us mandir mein, ek moorat hai
Yeh moorat kaisi hoti hai
Teri soorat jaisi hoti hai
Woh kya hai, ek mandir hai

Main kya jaanu chhanv hai kya
Aur dhoop hai kya

Main kya jaanu chhanv hai kya
Aur dhoop hai kya
Rang-birangi is duniya ka roop hai kya
Woh kya hai, ek parvat hai
Us parvat pe, ek baadal hai
Yeh baadal kaisa hota hai
Tere anchal jaisa hota hai
Woh kya hai, ek parvat hai

Mast hawa ne ghoonghat khola kaliyon ka
Mast hawa ne ghoonghat khola kaliyon ka
Jhoom ke mausam aaya hai rang-raliyon ka
Woh kya hai, ek bagiya hai Us bagiya mein, kayi bhanwre hain
Bhanwre kya jogi hote hain
Nahin dil ke rogi hote hain
Woh kya hai, ek bagiya hai

Aisi bhi anjan nahi main ab sajna
Bin dekhe mujhko dikhta hai sab sajna
Achcha! woh kya hai, woh sagar hai
Us sagar mein, ek naiya hai
Are toone kaise naam liya
Mann se aankhon se kaam liya
Woh kya hai, woh sagar hai

More Lyrics From Anuraag