Uh-Oh Uh-Oh! Lyrics - Mujhse Fraaandship Karoge


Uh-Oh Uh-Oh! Lyrics from Mujhse Fraaandship Karoge: Listen to this song which is in the fabulous voice of Ash King and Shilpa Rao. Music of this song is composed by Raghu Dixit and Uh-oh Uh-oh! lyrics are penned by Anvita Dutt Guptan. Mujhse Fraaandship Karoge is a 2011 Hindi movie starring Saqib Saleem, Saba Azad and Nishant Dahiya.

Uh-Oh Uh-Oh! Lyrics - Mujhse Fraaandship Karoge

Uh-Oh Uh-Oh! Song Detail


Song: Uh-Oh Uh-Oh!
Album: Mujhse Fraaandship Karoge (2011)
Singer: Ash King, Shilpa Rao
Musician: Raghu Dixit
Lyricist: Anvita Dutt Guptan
Star Cast: Saqib Saleem, Saba Azad, Nishant Dahiya etc.

Uh-Oh Uh-Oh! Lyrics

Ab hawa ki deewaron pe
Hum dhoop alfzon se
Bhare bhare lifafe khat likhenge
Hum thode besabar the
Kab taazi taazi khabar se
Dil ki akhbaron mein chhapenge

Teri meri baton ka yeh karwan
Dekho dekho afwahon sa hai rawaan
Aasman mein baadal banke chala
Uda-uda, muda-muda, juda-juda, thoda-thoda

Uh oh uh oh kya hua
Uh oh uh oh pyaar hua
Uh oh uh oh haan hua
I guess I've fallen in love

Ab kisi bhi bahaane se
Kyun har anjaane mein
Yun tere hi to chehre dikhenge
Jab dekhoon main kitabon ko
Ya khidki darwazon ko
Kyun teri hi kahani sab kahenge

Teri meri baton ka yeh karwan
Dekho dekho afwahon sa hai rawaan Aasman mein baadal banke chala
Uda-uda, muda-muda, juda-juda, thoda-thoda

Uh oh uh oh kya hua
Uh oh uh oh pyaar hua
Uh oh uh oh haan hua
I guess I've fallen in love

Dekho na baaton hi baaton mein
Vaadon ki baatuni kahani
Aankhon ki zubani sunaani hai
Zara sa mauka tu dede
To tujhse kahoonga
Pehla hi pehla yeh dil ka jo pehlu hai
Bewajah betuki paheli ke jaise uljhata hai
Zara sa mauka tu dede
To suljha ke doongi

Jhooti mooti mulakaton ko
Dekhun dekhun main to khwabon mein
Aisi waisi kaisi baatein hon
Socha karun main khayalon mein
Kyun kahan intezaron mein main to chala
Uda-uda, muda-muda, juda-juda, thoda-thoda

Uh oh uh oh kya hua
Uh oh uh oh pyaar hua
Uh oh uh oh haan hua
I guess I've fallen in love x (2)