Tumhein Aur Kya Doon Main Dil Ke Siwa Lyrics - Ayee Milan Ki Bela


Tumhein Aur Kya Doon Main Dil Ke Siwa Lyrics from Ayee Milan Ki Bela is Hindi song sung by Lata Mangeshkar. Tumhein Aur Kya Doon Main Dil Ke Siwa song lyrics are written by Hasrat Jaipuri, its music is given by Shankar and Jaikishan. Ayee Milan Ki Bela is a 1964 Hindi movie starring Rajendra Kumar, Saira Banu and Dharmendra.

Tumhein Aur Kya Doon Main Dil Ke Siwa Lyrics - Ayee Milan Ki Bela

Tumhein Aur Kya Doon Main Dil Ke Siwa Song Detail


Song: Tumhein Aur Kya Doon Main Dil Ke Siwa
Album: Ayee Milan Ki Bela (1964)
Singer: Lata Mangeshkar
Musician: Shankar, Jaikishan
Lyricist: Hasrat Jaipuri
Star Cast: Rajendra Kumar, Saira Banu, Dharmendra etc.

Tumhein Aur Kya Doon Main Dil Ke Siwa Lyrics

Tumhein aur kya doon main dil ke siwa
Tumko hamari umar lag jaaye
Tumko hamari umar lag jaaye
Tumhein aur kya doon main dil ke siwa
Tumko hamari umar lag jaaye
Tumko hamari umar lag jaaye

Muradein hon poori saje har tamanna
Mohabbat ki duniya ke tum chand ban'na
Bahaaron ki manzil pe hasna hasana
Khushi mein hamari bhi aawaz sun'na

Kabhi zindagi mein koyi gham na aaye
Tumko hamari umar lag jaaye
Tumko hamari umar lag jaaye

Tumhein aur kya doon main dil ke siwa
Tumko hamari umar lag jaaye
Tumko hamari umar lag jaaye

Mujhe jo khushi hai tumhein kya bataun
Bhala dil ki dhadkan ko kaise chhipaun
Kahin ho na jaaun khushi se main pagal
Tumhein dekh kar aur bhi muskuran
Khuda diljalon ki nazar se bachaye
Tumko hamari umar lag jaaye Tumko hamari umar lag jaaye

Tumhein aur kya doon main dil ke siwa
Tumko hamari umar lag jaaye
Tumko hamari umar lag jaaye

Sitaaron se uncha ho rutba tumhara
Bano tum har ik zindagi ka sahara
Tumhein jisse ulfat ho mil jaaye tumko
Samajh lo hamari dua ka ishaara
Mukaddar tumhara sada jagmagaye
Tumko hamari umar lag jaaye
Tumko hamari umar lag jaaye

Tumhein aur kya doon main dil ke siwa
Tumko hamari umar lag jaaye
Tumko hamari umar lag jaaye