Tujhse Naraz Nahi Zindagi Lyrics - Masoom


Tujhse Naraz Nahi Zindagi Lyrics from Masoom is Hindi song in the voices of Lata Mangeshkar, Anoop Ghoshal. Tujhse Naraz Nahi Zindagi song lyrics are written by Gulzar, its music is given by R D Burman. Masoom is a 1983 Hindi movie starring Naseeruddin Shah, Shabana Azmi and Urmila Matondkar.

Tujhse Naraz Nahi Zindagi Lyrics - Masoom

Tujhse Naraz Nahi Zindagi Song Detail


Song: Tujhse Naraz Nahi Zindagi
Album: Masoom (1983)
Singer: Lata Mangeshkar, Anoop Ghoshal
Musician: R. D. Burman
Lyricist: Gulzar
Star Cast: Naseeruddin Shah, Shabana Azmi, Urmila Matondkar etc.

Tujhse Naraz Nahi Zindagi Lyrics

Tujhse naraz nahi zindagi
Hairaan hoon main
Ho hairaan hoon main
Tere masoom sawalon se
Pareshaan hoon main
Ho pareshaan hoon main

Tujhse naraz nahi zindagi
Hairaan hoon main
Ho hairaan hoon main
Tere masoom sawalon se

Pareshaan hoon main
Ho pareshaan hoon main

Jeene ke liye socha hi nahi
Dard sambhalane honge
Jeene ke liye socha hi nahi
Dard sambhalane honge
Muskurayein to muskurane ke
Karz utaarne honge
Ho muskuraun kabhi to lagta hai
Jaise hothon pe karz rakha hai

Ho tujhse naraz nahi zindagi
Hairaan hoon main Ho hairaan hoon main

Zindagi tere gham ne humein
Rishte naye samjhaye
Zindagi tere gham ne humein
Rishte naye samjhaye
Mile jo humein dhoop mein mile
Chhanv ke thande saaye

Tujhse naraz nahi zindagi
Hairaan hoon main
Ho hairaan hoon main

Aaj agar bhar aayi hain
Boondein baras jayengi
Aaj agar bhar aayi hain
Boondein baras jayengi
Kal kya pata inke liye
Aankhein taras jayengi
Ho jaane kahan ghum hua kahan khoya
Ek aansu chhupa ke rakha tha

Tujhse naraz nahi zindagi
Hairaan hoon main
Ho hairaan hoon main
Tere masoom sawalon se
Pareshaan hoon main
Ho pareshaan hoon main
Ho pareshaan hoon main
Ho pareshaan hoon main