Suno Sajna Papihe Ne Kaha Sabse Lyrics - Aaye Din Bahar Ke Title Song


Suno Sajna Papihe Ne Kaha Sabse Lyrics from the movie Aaye Din Bahar Ke is sung by Lata Mangeshkar, its music is composed by Laxmikant and Pyarelal and lyrics are written by Anand Bakshi. Aaye Din Bahar Ke is a 1966 Hindi movie starring Dharmendra, Asha Parekh and Nazima.

Suno Sajna Papihe Ne Kaha Sabse Lyrics - Aaye Din Bahar Ke Title Song

Suno Sajna Papihe Ne Kaha Sabse Song Detail


Song: Suno Sajna Papihe Ne Kaha Sabse
Album: Aaye Din Bahar Ke (1966)
Singer: Lata Mangeshkar
Musician: Laxmikant, Pyarelal
Lyricist: Anand Bakshi
Star Cast: Dharmendra, Asha Parekh, Nazima etc.

Suno Sajna Papihe Ne Kaha Sabse Lyrics

Suno sajna papihe ne
Suno sajna papihe ne kaha sabse pukar ke
Sambhal jao chaman walon
Sambhal jao chaman walon ke aaye din bahar ke
Suno sajna, suno sajna

Phoolon ki daaliyan bhi yehi geet ga rahi hain
Ghadiyan piya milan ki nazdeek aa rahi hain
Nazdeek aa rahi hain, nazdeek aa rahi hain
Hawaon ne jo chede hain
Hawaon ne jo chede hain fasane hain wo pyar ke

Sambhal jao chaman walon ke aaye din bahar ke
Suno sajna, suno sajna

Dekho na aise dekho, marzi hai kya tumhari
Bechain kar na dena tumko kasam hamari
Tumko kasam hamari
Hami dushman na ban jaayein
Hami dushman na ban jaayein kahin apne karar ke
Sambhal jao chaman walon ke aaye din bahar ke
Suno sajna, suno sajna

Baagon mein pad gaye hain sawan ke mast jhoole
Aisa samaa jo dekha, raahi bhi raah bhoole
Raahi bhi raah bhoole Ke jee chaha yahin rakh dein
Ke jee chaha yahin rakh dein umar saari guzaar ke
Sambhal jao chaman walon ke aaye din bahar ke
Suno sajna, suno sajna