Shayad Meri Shaadi Ka Khayal Lyrics - Souten


Shayad Meri Shaadi Ka Khayal Lyrics from Souten is Hindi song in the voices of Lata Mangeshkar, Kishore Kumar. Shayad Meri Shaadi Ka Khayal song lyrics are written by Saawan Kumar, its music is given by Usha Khanna. Souten is a 1983 Hindi movie starring Rajesh Khanna, Tina Munim and Padmini Kolhapure.

Shayad Meri Shaadi Ka Khayal Lyrics - Souten

Shayad Meri Shaadi Ka Khayal Song Detail


Song: Shayad Meri Shaadi Ka Khayal
Album: Souten (1983)
Singer: Lata Mangeshkar, Kishore Kumar
Musician: Usha Khanna
Lyricist: Saawan Kumar
Star Cast: Rajesh Khanna, Tina Munim, Padmini Kolhapure etc.

Shayad Meri Shaadi Ka Khayal Lyrics

Shayad meri shaadi ka khayal
Shayad meri shaadi ka khayal
Dil mein aaya hai
Isiliye mummy ne meri
Tumhein chai pe bulaya hai

Kya kaha phir se dohrao

Shayad meri shaadi ka khayal
Shayad meri shaadi ka khayal
Dil mein aaya hai
Isiliye mummy ne meri

Tumhein chai pe bulaya hai

Hmm
Panchhi akela dekh mujhe
Panchhi akela dekh mujhe
Yeh jaal bichhaya hai
Isiliye mummy ne teri
Mujhe chai pe bulaya hai
Kyun hai na
Nahi nahi

Theek tum char baje ghar chale aana
Mera hath maang lena zara na sharmana
Theek tum char baje ghar chale aana Mera hath maang lena zara na sharmana

Saat phere mere sang sapne dekh rahi ho
Khili huyi dhoop mein taare dekh rahi ho
Arre nahi nahi baba chai nahi peena
Kyun kyun
Tauba meri tauba maaf kar dena

Inhi adaon par to haaye
Apna dil aaya hai
Isiliye mummy ne meri
Tumhein chai pe bulaya hai

Na na na na na na
Panchhi akela dekh mujhe
Yeh jaal bichhaya hai
Isiliye mummy ne teri
Mujhe chai pe bulaya hai

Dillagi na karo
Chhedo na humko sanam
Haan kaho ghar chalo
Tumko meri kasam

Dillagi na karo
Chhedo na humko sanam
Haan kaho ghar chalo
Tumko meri kasam

Jaan-e-man maana hum
Tum pe marte hain
Pyaar to theek hai
Shaadi se darte hain
Shaadi se pahle to
Sab achha lagta hai
Saari umar ko phir rona padta hai

Inhi adaaon par to haaye
Apna dil aaya hai
Isiliye mummy ne meri
Tumhein chai pe bulaya hai

Arre panchhi akela dekh mujhe
Yeh jaal bichhaya hai
Isiliye mummy ne teri
Mujhe chai pe bulaya hai
Arre nahi baba

Shayad meri shaadi ka khayal
Dil mein aaya hai
Isiliye mummy ne meri
Tumhein chai pe bulaya hai