Raina Beeti Jaye Shyam Na Aaye Lyrics - Amar Prem


Raina Beeti Jaye Shyam Na Aaye Lyrics from the movie Amar Prem is sung by Lata Mangeshkar, its music is composed by R D Burman and lyrics are written by Anand Bakshi. Amar Prem is a 1972 Hindi movie starring Rajesh Khanna, Sharmila Tagore and Madan Puri.

Raina Beeti Jaye Shyam Na Aaye Lyrics - Amar Prem

Raina Beeti Jaye Shyam Na Aaye Song Detail


Song: Raina Beeti Jaye Shyam Na Aaye
Album: Amar Prem (1972)
Singer: Lata Mangeshkar
Musician: R. D. Burman
Lyricist: Anand Bakshi
Star Cast: Rajesh Khanna, Sharmila Tagore, Madan Puri etc.

Raina Beeti Jaye Shyam Na Aaye Lyrics

Raina beeti jaye, Shyam na aaye
Raina beeti jaye, Shyam na aaye..
Nindiya na aaye, nindiya na aaye
Raina beeti jaye, Shyam na aaye
Raina beeti jaye..

Shaam ko bhoola, Shyam ka waada re
Shaam ko bhoola, Shyam ka waada
Sang diye ke jaagi Radha
Nindiya na aaye, nindiya na aaye
Raina beeti jaye, Shyam na aaye

Raina beeti jaye..

Kis sautan ne roki dagariya
Kis sautan ne roki dagariya
Kis bairan se laagi nazariya
Nindiya na aaye, nindiya na aaye
Raina beeti jaye, Shyam na aaye
Raina beeti jaye..

Biraha ki maari, prem diwaani re
Biraha ki maari, prem diwaani
Tan man pyasa ankhiyon mein paani
Nindiya na aaye, nindiya na aaye
Raina beeti jaye, Shyam na aaye Raina beeti jaye..