Panchhi Banoo Udti Phiroon Lyrics - Chori Chori

Panchhi Banoo Udti Phiroon Lyrics from Chori Chori: This is a very well sung song by Lata Mangeshkar with nicely composed music by Shankar and Jaikishan. Lyrics of Panchhi Banoo Udti Phiroon are beautifully penned by Hasrat Jaipuri. Chori Chori is a 1956 Hindi movie starring Raj Kapoor, Nargis Dutt and Pran.

Panchhi Banoo Udti Phiroon Lyrics - Chori Chori

Panchhi Banoo Udti Phiroon Song Detail

Song: Panchhi Banoo Udti Phiroon
Album: Chori Chori (1956)
Singer: Lata Mangeshkar
Musician: Shankar, Jaikishan
Lyricist: Hasrat Jaipuri
Star Cast: Raj Kapoor, Nargis Dutt, Pran etc.

Panchhi Banoo Udti Phiroon Lyrics

Panchhi banoo udti phiroon mast gagan mein
Aaj main azad hoon duniya ke chaman mein
Panchhi banoo udti phiroon mast gagan mein
Aaj main azad hoon duniya ke chaman mein

Hillori hillori hillo hillo hillo hillori x 4

O mere jeevan mein chamka savera
O mita dil se woh gham ka andhera
O hare kheton mein gaaye koi lehraa
O yahan dil par kisi ka na pehra
Rang bahaaron ne bhara mere jeevan mein

Rang bahaaron ne bhara mere jeevan mein
Aaj main azad hoon duniya ke chaman mein

Panchhi banu udti phiru mast gagan mein
Aaj main azad hoon duniya ke chaman mein

O dil yeh chaahe baharon se kheloon
O gori nadiya ki dhaaron se kheloon
O chaand, sooraj, sitaaron se kheloon
O apni baahon mein aakash le loon
Badhti chaloon gaati chaloon apni lagan mein
Badhti chaloon gaati chaloon apni lagan mein
Aaj main azad hoon duniya ke chaman mein

Panchhi banoo udti phiroon mast gagan mein Aaj main azad hoon duniya ke chaman mein

Hillori hillori hillo hillo hillo hillori x 4

O main to odhungi badal ka aanchal
O main to pehnungi bijli ki payal
O chheen loongi ghataon se kajal
O mera jeevan hai nadiya ki halchal
Dil se mere lahar uthe thandi pawan mein