Pag Ghungroo Bandh Lyrics - Namak Halaal


Pag Ghungroo Bandh Lyrics from Namak Halaal is sung by Kishore Kumar and written by Anjaan. Music of Pag Ghungroo Bandh Meera Nachi Thi is composed by Bappi Lahiri, Salil Choudhary and Ramchandra. Namak Halaal is a 1982 Hindi movie starring Amitabh Bachchan, Smita Patil and Parveen Babi.

Pag Ghungroo Bandh Lyrics - Namak Halaal

Pag Ghungroo Bandh Song Detail


Song: Pag Ghungroo Bandh
Album: Namak Halaal (1982)
Singer: Kishore Kumar
Musician: Bappi Lahiri, Salil Choudhary, Ramchandra
Lyricist: Anjaan
Star Cast: Amitabh Bachchan, Smita Patil, Parveen Babi etc.

Pag Ghungroo Bandh Lyrics

Buzurgon ne, buzurgon ne farmaya
Ke pairon pe apne khade hoke dikhlao
Phir yeh zamana tumhara hai
Zamane ke sur-taal ke sath chalte chale jao
Phir har tarana tumhara, fasana tumhara hai

Arre to lo bhaiya hum
Apne pairon ke upar khade ho gaye
Aur mila li hai taal
Daba lega daanton tale ungliyan, liyan
Yeh jahan dekhkar, dekhkar apni chaal

Wah wah, wah wah
Dhanyawad

Ke pag ghungroo
Ke pag ghungroo bandh meera nachi thi
Ke pag ghungroo bandh meera nachi thi
Aur hum nachein bin ghungroo ke
Ke pag ghungroo bandh meera nachi thi

Woh teer bhala kis kaam ka hai
Jo teer nishane se chooke, chooke, chooke re
Ke pag ghungroo

Pag ghungroo bandh meera nachi thi
Pag ghungroo bandh meera nachi thi Nachi thi, nachi thi, nachi thi haan
Ke pag ghungroo bandh meera nachi thi

Hmm aap andar se kuchh aur
Baahar se kuchh aur nazar aate hain
Bakhuda shakal se to chor nazar aate hain
Umra ghuzari hai saari chori mein
Saare sukh chain band jurm ki tijori mein

Aap ka to lagta hai bas yehi sapna
Ram Ram japna paraya maal apna x (2)

Watan ka khaya namak to namak halaal bano
Farz imaan ki zinda yahan misaal bano
Paraya dhan parayi naar pe nazar mat daalo
Buri aadat hai yeh, aadat abhi badal daalo

Kyon ke!
Yeh aadat to woh aag hai jo
Ek din apna ghar phoonke, phoonke, phoonke re
Ke pag ghungroo

Pag ghungroo bandh meera nachi thi
Pag ghungroo bandh meera nachi thi
Nachi thi, nachi thi, nachi thi haan
Ke pag ghungroo bandh meera nachi thi

Mausam-e-ishq mein machle huye armaan hain hum
Dil ko lagta hai ke do jism ek jaan hain hum
Aisa lagta hai to lagne mein kuchh burai nahi
Dil yeh kehta hai aap apni hain, parayi nahi

Sangemarmar ki haye koyi moorat ho tum
Badi dilkash badi khoobsurat ho tum
Dil dil se milne ka koyi mahurat ho
Pyase dilon ki zaroorat ho tum
Dil cheer ke dikhla doon main
Dil mein yehi soorat hasin
Kya aapko lagta nahin hum hain mile pehle kahin

Kya desh hai, kya jaat hai
Kya umra hai, kya naam hai
Arre chhodiye in baaton se
Humko bhala kya kaam hai
Aji suniye to

Hum aap milein to phir ho shuru
Afsaane Laila Majnu, Laila Majnu ke
Ke pag ghungroo bandh meera nachi thi
Aur hum nachein bin ghungroo ke
Ke pag ghungroo bandh meera nachi thi

Ke pag ghungroo bandh meera nachi thi x (3)

Pag ghungroo bandh meera nachi thi x (2)