O Re Kaanchi Kaanch Ki Gudiya Lyrics - Asoka


Read & sing along O Re Kaanchi Kaanch Ki Gudiya Lyrics from the movie Asoka - 2002 which is sung by Alka Yagnik and Shaan. You can also get other songs & lyrics from Asoka. Asoka is a 2001 Hindi movie starring Kareena Kapoor, Shahrukh Khan and Hrishita Bhatt.

O Re Kaanchi Kaanch Ki Gudiya Lyrics - Asoka

O Re Kaanchi Kaanch Ki Gudiya Song Detail


Song: O Re Kaanchi Kaanch Ki Gudiya
Album: Asoka (2001)
Singer: Alka Yagnik, Shaan
Musician: Anu Malik
Lyricist: Gulzar
Star Cast: Kareena Kapoor, Shahrukh Khan, Hrishita Bhatt etc.

O Re Kaanchi Kaanch Ki Gudiya Lyrics

Jhoom chameli, jhoom chameli jhanjhar wali jhoom jhoom
Ghoom chameli, ghoom chameli jhajhar walii ghoom ghoom

O re kaanchi..
[O re kaanchi, o re kaanchi, o re kaanchi] x 2

O re kaanchi kaanch ki gudiya
Hothon mein baandhe prem ki pudiya
Na use khole na munh se bole
Palkon pe rakh ke aankhon se taule
Na use khole na munh se bole
Palkon pe rakh ke aankhon se taule

Suniyo suniyo..
[O re kaanchi, o re kaanchi, o re kaanchi] x 2

Suniyo suniyo misri se meethi
Aankhon mein band hai baat raseeli
Na unhein khole na munh se bole
Palkon pe rakh ke aankhon se taule
Na unhein khole na munh se bole
Palkon pe rakh ke aankhon se taule

Jhoom chameli, jhoom chameli jhanjhar wali jhoom jhoom
Ghoom chameli, ghoom chameli jhajhar walii ghoom ghoom

Pahaadi paar chalna hai to parbat hata doon
Ghataon mein kahin chhupna hai to sawan bula doon Mahua mahua mehka mehka
Mehka mehka mahua mahua
Pahaadi paar chalna hai to parbat hata doon
Ghataon mein kahin chhupna hai to sawan bula doon
Koi udta hua panchhi bata dega thikana
Jahaan se din nikalta hai usi teele pe aana
Mahua mahua mehka mehka
Mehka mehka mahua mahua

O re kaanchi kaanch ki gudiya
Hothon mein baandhe prem ki pudiya
Na use khole na munh se bole
Palkon pe rakh ke aankhon se taule

Suniyo suniyo misri se meethi
Aankhon mein band hai baat raseeli
Na unhein khole na munh se bole
Palkon pe rakh ke aankhon se taule
Na unhein khole na munh se bole
Palkon pe rakh ke aankhon se taule

O re kaanchi..
[O re kaanchi, o re kaanchi, o re kaanchi] x 2

Tera koi parichay ho to aye sundari bata de
Badi meethi muskaan hai mundari bana de
Mahua mahua mehka mehka
Mehka mehka mahua mahua
Tera koi parichay ho to aye sundari bata de
Badi meethi muskaan hai mundari bana de
Hai pardesi mujhe bhool jaayega kahin pe
De vachan main pehan loon use gehna samajh ke
Mahua mahua mehka mehka
Mehka mehka mahua mahua

O re kaanchi kaanch ki gudiya
Hothon mein baandhe prem ki pudiya
Na use khole na munh se bole
Palkon pe rakh ke aankhon se taule

Suniyo suniyo misri se meethi
Aankhon mein band hai baat raseeli
Haan na unhein khole na munh se bole
Palkon pe rakh ke aankhon se taule
Na unhein khole na munh se bole
Palkon pe rakh ke aankhon se taule

[O re kaanchi, o re kaanchi, o re kaanchi] x 6