Mujhe Teri Nazar Ne Lyrics - Waah Tera Kya Kehna


Mujhe Teri Nazar Ne Lyrics from Waah Tera Kya Kehna: Listen to this song which is in the fabulous voice of Alka Yagnik and Udit Narayan. Music of this song is scored by Jatin and Lalit and Mujhe Teri Nazar Ne Lyrics are penned by Sameer. Waah Tera Kya Kehna is a 2002 Hindi movie starring Govinda, Raveena Tandon and Preeti Jhangiani.

Mujhe Teri Nazar Ne Lyrics - Waah Tera Kya Kehna

Mujhe Teri Nazar Ne Song Detail


Song: Mujhe Teri Nazar Ne
Album: Waah Tera Kya Kehna (2002)
Singer: Alka Yagnik, Udit Narayan
Musician: Jatin, Lalit
Lyricist: Sameer
Star Cast: Govinda, Raveena Tandon, Preeti Jhangiani etc.

Mujhe Teri Nazar Ne Lyrics

Mujhe teri nazar ne aashiq banaya sanam
Is jahan ke deewane sab aashikon ki kasam
Chaahe din ho chaahe raatein
Karta hoon bas teri baatein jaan-e-jaan
Mujhe teri nazar ne aashiq banaya sanam
Is jahan ke deewane sab aashikon ki kasam

Pyaar ke waade sabhi jo main tod doon
Kya karogi tum agar daaman chhod doon
Yaar mere khudkushi main kar jaaungi
Bewafai na sahoongi mar jaaungi

Bewafa main nahin
Tujhko mujhpe hai bharosa
Kaise doonga tujhko dhokha na re na
Mujhe teri nazar ne aashiq banaya sanam
Is jahan ke deewane sab aashikon ki kasam

Chal rahi har saans pe tera naam hai
Pyaar karna bas tujhe mera kaam hai
Dekh teri chaahaton mein kya ho gaya
Main tere khwaabon khyaalon mein kho gaya
Humnashin zindagi teri baahon mein guzaarun
Tujhko dhadkan mein utaaroon haan re haan

Mujhe teri nazar ne aashiq banaya sanam Is jahan ke deewane sab aashikon ki kasam
Chaahe din ho chaahe raatein
Karta hoon bas teri baatein jaan-e-jaan
Mujhe teri nazar ne aashiq banaya sanam
Is jahan ke deewane sab aashikon ki kasam