MILTI HAI ZINDAGI MEIN MOHABBAT KABHI KABHI LYRICS - Aankhen
Milti Hai Zindagi Mein Mohabbat Kabhi Kabhi Lyrics from the movie Aankhen is sung by Lata Mangeshkar, its music is composed by Ravi and lyrics are written by Sahir Ludhianvi.

Musician : Ravi
Lyricist : Sahir Ludhianvi
Milti Hai Zindagi Mein Mohabbat Kabhi Kabhi Lyrics
Milti hai zindagi mein mohabbat kabhi kabhi

Hoti hai dilbaron ki inaayat kabhi kabhi

Sharma ke munh na pher nazar ke sawaal par

Laati hai aise mod pe kismat kabhi kabhi
Laati hai aise mod pe kismat kabhi kabhi
Milti hai zindagi mein mohabbat kabhi kabhi
Khulte nahin hain roz dareeche bahaar ke

Aati hai jaan-e-man yeh qayamat kabhi kabhi
Aati hai jaan-e-man yeh qayamat kabhi kabhi
Milti hai zindagi mein mohabbat kabhi kabhi
Tanha na kat sakenge jawaani ke raaste
Tanha na kat sakenge jawaani ke raastePesh aayegi kisi ki zaroorat kabhi kabhi
Pesh aayegi kisi ki zaroorat kabhi kabhi
Milti hai zindagi mein mohabbat kabhi kabhi
Phir kho na jaayen hum kahin duniya ki bheed mein

Milti hai paas aane ki mohlat kabhi kabhi