Meri Maa Lyrics - Taare Zameen Par


Meri Maa Lyrics from Taare Zameen Par is Hindi song sung by Shankar Mahadevan. Meri Maa song lyrics are written by Prasoon Joshi, its music is given by Shankar Mahadevan, Ehsaan and Loy. Taare Zameen Par is a 2007 Hindi movie starring Aamir Khan, Tanay Chheda and Darsheel Safary.

Meri Maa Lyrics - Taare Zameen Par

Meri Maa Song Detail


Song: Meri Maa
Album: Taare Zameen Par (2007)
Singer: Shankar Mahadevan
Musician: Shankar Mahadevan, Ehsaan, Loy
Lyricist: Prasoon Joshi
Star Cast: Aamir Khan, Tanay Chheda, Darsheel Safary etc.

Meri Maa Lyrics

Main kabhi batlata nahin
Par andhere se darta hoon main Maa
Yoon to main dikhlata nahin
Teri parwaah karta hoon main Maa
Tujhe sab hai pata, hai na Maa
Tujhe sab hai pata... meri Maa

Bheed mein yoon na chhodo mujhe
Ghar laut ke bhi aa na paaun Maa
Bhej na itna door mujhko tu
Yaad bhi tujhko aa na paaun Maa

Kya itna bura hoon main Maa
Kya itna bura... meri Maa

Jab bhi kabhi Papa mujhe
Zor zor se jhoola jhulaate hain Maa
Meri nazar dhoondhe tujhe
Sochoon yahi tu aake thamegi Maa
Unse main yeh kehta nahin
Par main seham jata hoon Maa
Chehre pe aane deta nahin
Dil hi dil mein ghabrata hoon Maa
Tujhe sab hai pata, hai na Maa
Tujhe sab hai pata... meri Maa

Main kabhi batlata nahin
Par andhere se darta hoon main Maa
Yoon to main dikhlata nahin
Teri parwaah karta hoon main Maa
Tujhe sab hai pata, hai na Maa
Tujhe sab hai pata... meri Maa



More Lyrics From Taare Zameen Par