Mere Mehboob Na Jaa, Aaj Ki Raat Na Jaa Lyrics - Noor Mahal


Mere Mehboob Na Jaa, Aaj Ki Raat Na Jaa Lyrics from Noor Mahal: Mere Mehboob Na Jaa, Aaj Ki Raat Na Jaa is a beautiful hindi song from 1965 bollywood film Noor Mahal. This song is composed by Jani Babu Qawwal. Suman Kalyanpur has sung this song. Its lyrics are written by Saba Afghani. Noor Mahal is a 1965 Hindi movie starring Jagdeep, Chitra and Lalita Desai.

Mere Mehboob Na Jaa, Aaj Ki Raat Na Jaa Lyrics - Noor Mahal

Mere Mehboob Na Jaa, Aaj Ki Raat Na Jaa Song Detail


Song: Mere Mehboob Na Jaa, Aaj Ki Raat Na Jaa
Album: Noor Mahal (1965)
Singer: Suman Kalyanpur
Musician: Jani Babu Qawwal
Lyricist: Saba Afghani
Star Cast: Jagdeep, Chitra, Lalita Desai etc.

Mere Mehboob Na Jaa, Aaj Ki Raat Na Jaa Lyrics

Mere mehboob na ja, na ja na ja
Mere mehboob na ja, aaj ki raat na ja
Hone waali hai sehar, thodi der aur thehar
Mere mehboob na ja...

Dekh kitna haseen mausam hai
Har taraf ik ajib aalam hai
Jalve is taraha aaj nikhare hain
Jaise taare zameen pe bikhre hain, mere mehboob...

Maine kaaten hain intezar ke din
Tab kahin aaye hain bahaar ke din

Yun na ja dil ki shama gul kar ke
Abhi dekha nahin hai jee bhar ke, mere mehboob...

Jab se zulfon ki chhanv paai hai
Bekaraari ko neend aayi hai
Is taraha mat ja yunhi sone de
Raat dhalane de subaha hone de, mere mehboob...

Is tarah pher kar nazar mujh se
Door jaaegaa tu agar mujhse
Chandni se bhi aag barasegi
Shammaa bhi roshni ko tarasegi, mere mehboob...

Dhadkanon mein yehi tarane hain
Tere rukne ke sau bahaane hain Mere dil ki zara sada sun le
Pyaasi nazaron ki iltajaa sun le, mere mehboob...