Mere Man Ki Ganga Aur Tere Man Ki Jamuna Lyrics - Sangam


Mere Man Ki Ganga Aur Tere Man Ki Jamuna Lyrics from Sangam is sung by Vijayanthimala and Mukesh. Mere Man Ki Ganga Aur Tere Man Ki Jamuna song lyrics are written by Shailendra while its music is given by Shankar Jaikishan. Sangam is a 1964 Hindi movie starring Rajendra Kumar, Vyjayanthi Mala and Raj Kapoor.

Mere Man Ki Ganga Aur Tere Man Ki Jamuna Lyrics - Sangam

Mere Man Ki Ganga Aur Tere Man Ki Jamuna Song Detail


Song: Mere Man Ki Ganga Aur Tere Man Ki Jamuna
Album: Sangam (1964)
Singer: Vijayanthimala, Mukesh
Musician: Shankar Jaikishan
Lyricist: Shailendra
Star Cast: Rajendra Kumar, Vyjayanthi Mala, Raj Kapoor etc.

Mere Man Ki Ganga Aur Tere Man Ki Jamuna Lyrics

Mere man ki Ganga aur tere man ki Jamuna ka
Bol Radha bol sangam hoga ki nahi
Mere man ki Ganga aur tere man ki Jamuna ka
Bol Radha bol sangam hoga ki nahi
Arre bol Radha bol sangam hoga ki nahi
Nahi kabhi nahi

Kitni sadiyan beet gayi hain
Haaye tujhe samjhane mein
Mere jaisa dheeraj wala
Hai koyi aur zamaane mein

Dil ka badhta bojh kabhi kam hoga ki nahi
Bol Radha bol sangam hoga ki nahi
Arre bol Radha bol sangam hoga ki nahi
Ha ha ha ja ja

Do nadiyon ka mel agar
Itna paavan kehlata hai
Kyun na jahan do dil milte hain
Swarg wahan bas jaata hai
Har mausam hai pyar ka mausam hoga ki nahi
Bol Radha bol sangam hoga ki nahi
Mere man ki Ganga aur tere man ki Jamuna ka
Bol Radha bol sangam hoga ki nahi Arre bol Radha bol sangam hoga ki nahi
Nahi nahi nahi

Teri khaatir main tadpa yun
Tarse dharti saavan ko
Radha Radha ek ratan hai
Saans ki aavan jaavan ko
Pathar pighle dil tera nam hoga ki nahi
Bol Radha bol sangam hoga ki nahi
Mere man ki Ganga aur tere man ki Jamuna ka
Bol Radha bol sangam hoga ki nahi
Arre bol Radha bol sangam hoga ki nahi
Jao na kyun sataate ho
Hoga hoga hoga