Likhe Jo Khat Tujhe Lyrics - Kanyadaan


Likhe Jo Khat Tujhe Lyrics from Kanyadaan is Hindi song sung by Mohammad Rafi and music is given by Shankar and Jaikishan. Likhe Jo Khat Tujhe song lyrics are written by Neeraj. Kanyadaan is a 1968 Hindi movie starring Shashi Kapoor, Asha Parekh and Sayeeda Khan.

Likhe Jo Khat Tujhe Lyrics - Kanyadaan

Likhe Jo Khat Tujhe Song Detail


Song: Likhe Jo Khat Tujhe
Album: Kanyadaan (1968)
Singer: Mohammad Rafi
Musician: Shankar, Jaikishan
Lyricist: Neeraj
Star Cast: Shashi Kapoor, Asha Parekh, Sayeeda Khan etc.

Likhe Jo Khat Tujhe Lyrics

Likhe jo khat tujhe wo teri yaad mein
Hazaron rang ke nazaare ban gaye
Likhe jo khat tujhe wo teri yaad mein
Hazaron rang ke nazaare ban gaye
Savera jab hua to phool ban gaye
Jo raat aayi to sitaare ban gaye
Likhe jo khat tujhe

Koyi naghma kahin goonja
Kaha dil ne yeh tu aayi
Kahin chatki kali koyi

Main yeh samjha tu sharmayi
Koyi kushboo kahin bikhri
Laga yeh zulf lehraayi
Likhe jo khat tujhe wo teri yaad mein
Hazaron rang ke nazaare ban gaye
Savera jab hua to phool ban gaye
Jo raat aayi to sitaare ban gaye
Likhe jo khat tujhe

Fiza rangeen, adaa rangeen
Yeh ithlana, yeh sharmana
Yeh angdayi, yeh tanhaai
Yeh tarsa kar chale jaana Bana dega nahi kisko
Jawan jaadu yeh deewana
Likhe jo khat tujhe wo teri yaad mein
Hazaron rang ke nazaare ban gaye
Savera jab hua to phool ban gaye
Jo raat aayi to sitaare ban gaye
Likhe jo khat tujhe

Jahan tu hai, wahan main hoon
Mere dil ki tu dhadkan hai
Musafir main tu manzil hai
Main pyasa hoon tu sawan hai
Meri duniya yeh nazrein hain
Meri jannat yeh daaman hai
Likhe jo khat tujhe wo teri yaad mein
Hazaron rang ke nazaare ban gaye
Savera jab hua to phool ban gaye
Jo raat aayi to sitaare ban gaye
Likhe jo khat tujhe