Kya Se Kya Ho Gaya Lyrics - Guide


Kya Se Kya Ho Gaya song belongs to the Vijay Anand's film Guide starring Dev Anand, Waheeda Rehman, Anwar Hussain and Kishore Sahu. Kya Se Kya Ho Gaya Lyrics are penned by Shailendra Singh while this track is sung by Mohammad Rafi. Guide is a 1965 Hindi movie starring Dev Anand, Waheeda Rehman and Anwar Hussain.

Kya Se Kya Ho Gaya Lyrics - Guide

Kya Se Kya Ho Gaya Song Detail


Song: Kya Se Kya Ho Gaya
Album: Guide (1965)
Singer: Mohammad Rafi
Musician: S. D. Burman
Lyricist: Shailendra Singh
Star Cast: Dev Anand, Waheeda Rehman, Anwar Hussain etc.

Kya Se Kya Ho Gaya Lyrics

Kya se kya ho gaya bewafa tere pyar mein
Chaha kya, kya mila bewafa tere pyar mein

Chalo suhana bharam to toota
Jaana ke husn kya hai
Ho chalo suhana bharam to toota
Jaana ke husn kya hai
Kehti hai jisko pyar duniya
Kya cheez kya balaa hai
Dil ne kya na saha bewafa tere pyar mein
Chaha kya, kya mila bewafa tere pyar mein

Tere mere dil ke beech ab to
Sadiyon ke faasle hain
Haan tere mere dil ke beech ab to
Sadiyon ke faasle hain
Yakeen hoga kise ke hum tum
Ik raah sang chale hain
Hona hai aur kya bewafa tere pyar mein
Kya se kya ho gaya bewafa tere pyar mein