Koi Pathar Se Na Maare Mere Deewane Ko Lyrics - Laila Majnu

Koi Pathar Se Na Maare Mere Deewane Ko Lyrics from Laila Majnu (1976) is penned by Sahir Ludhianvi, it's composed by Madan Mohan and sung by Lata Mangeshkar. Laila Majnu is a 1976 Hindi movie starring Rishi Kapoor, Ranjeeta and Danny Denzongpa.

Koi Pathar Se Na Maare Mere Deewane Ko Lyrics - Laila Majnu

Koi Pathar Se Na Maare Mere Deewane Ko Song Detail

Song: Koi Pathar Se Na Maare Mere Deewane Ko
Album: Laila Majnu (1976)
Singer: Lata Mangeshkar
Musician: Madan Mohan
Lyricist: Sahir Ludhianvi
Star Cast: Rishi Kapoor, Ranjeeta, Danny Denzongpa etc.

Koi Pathar Se Na Maare Mere Deewane Ko Lyrics

Husn hazir hai muhabbat ki saza paane ko
Husn hazir hai muhabbat ki saza paane ko
Koi pathar se na maare mere deewane ko
Koi pathar se na maare mere deewane ko
Koi pathar se na maare mere deewane ko

Husn hazir hai muhabbat ki saza paane ko
Koi pathar se na maare mere deewane ko
Koi pathar se na maare mere deewane ko

Mere deewane ko itna na satao logon
Mere deewane ko itna na satao logon

Yeh to vehshi hai, tumhi hosh mein aao logon
Yeh to vehshi hai, tumhi hosh mein aao logon
Bahut ranjoor hai yeh, gamon se choor hai yeh
Bahut ranjoor hai yeh, gamon se choor hai yeh
Khuda ka kauf khao, bahut majboor hai yeh
Khuda ka kauf khao, bahut majboor hai yeh
Kyun chale aaye ho
Kyun chale aaye ho bebas pe sitam dhane ko
Koi pathar se haan
Koi pathar se na maare mere deewane ko
Koi pathar se na maare mere deewane ko

Mere jalwon ki khata hai jo yeh deewana hua Mere jalwon ki khata hai jo yeh deewana hua
Main hoon mujrim yeh agar hosh se begana hua
Main hoon mujrim yeh agar hosh se begana hua
Mujhe sooli chadha do, ke sholon pe jala do
Mujhe sooli chadha do, ke sholon pe jala do
Koyi shiqwa nahi hai, jo jee chahe saza do
Koyi shiqwa nahi hai, jo jee chahe saza do
Baksh do isko
Baksh do isko main taiyar hoon mit jaane ko
Koi pathar se haan
Koi pathar se na maare mere deewane ko
Koi pathar se na maare mere deewane ko

Patharon ko bhi wafa phool bana sakti hai
Patharon ko bhi wafa phool bana sakti hai
Yeh tamasha bhi sareaam dikha sakti hai
Yeh tamasha bhi sareaam dikha sakti hai
Lo ab pathar uthao, zamane ke khudaon
Lo ab pathar uthao, zamane ke khudaon
Tumhein main aazamaun, mujhe tum aazamao
Tumhein main aazamaun, mujhe tum aazamao
Ab dua arsh pe
Ab dua arsh pe jaati hai asar laane ko