Khamakha Lyrics - Matru Ki Bijlee Ka Mandola


Khamakha Lyrics from Matru Ki Bijlee Ka Mandola (2013) is penned by Gulzar, it's composed by Vishal Bhardwaj and sung by Vishal Bhardwaj and Prem Dehati. Matru Ki Bijlee Ka Mandola is a 2013 Hindi movie starring Imran Khan, Anushka Sharma and Pankaj Kapoor.

Khamakha Lyrics - Matru Ki Bijlee Ka Mandola

Khamakha Song Detail


Song: Khamakha
Album: Matru Ki Bijlee Ka Mandola (2013)
Singer: Vishal Bhardwaj, Prem Dehati
Musician: Vishal Bhardwaj
Lyricist: Gulzar
Star Cast: Imran Khan, Anushka Sharma, Pankaj Kapoor etc.

Khamakha Lyrics

Halki halki aahein bharna
Takiye mein sar de ke dheeme dheeme
Sarghoshi mein baatein karna
Pagalpan hai aise tum pe marna
Ubla ubla kyun lagta hai
Yeh badan, yeh jalan to khamakha nahin
Khamakha nahin

Ye khalish jo hai woh khamakha nahin
Haan tapish to hai par khamakha nahin x (2)

Jo nahin kiya, kar ke dekhna

Saans rok ke, mar ke dekhna
Yeh bewajah, besabab khamkha nahin
Yeh khamakha nahin
Yeh khamakha nahin
Yeh khamakha nahin

Saari saari raat ka jagna
Khidki pe sar rakh ke rote rehna
Ummeedon ka jalna bujhna
Paagalpan hai aise tum pe marna
Khaali khaali do aankhon mein
Yeh namak, yeh chamak to khamakha nahin
Khamakha nahin

Fikra rehti hai jo khamakha nahin
Zikra rehta hai jo khamakha nahin
Ashk aankhon mein bhar ke dekhna
Aaina kabhi dar ke dekhna
Yeh bewajah, besabab khamakha nahin
Deewangi sahi yeh khaamakha nahin
Haan junoon to hai par khamakha nahin

Sada Bhawani taahi jai ho pyara
Gauri pootra Ganesh
Paanch dev raksha karein ho pyara
Brahma Vishnu Mahesh

Kasam yo des mera se harya bharya Haryana
Seedhe saadhe log ade ke doodh dahi ka khana
Bolo Ram Ram Ram Ram Ram Ram Ram - 3

More Lyrics From Matru Ki Bijlee Ka Mandola