Jiyo To Aise Jiyo Jaise Sab Tumhara Hai Lyrics - Bahu Beti


Jiyo To Aise Jiyo Jaise Sab Tumhara Hai Lyrics from the movie Bahu Beti is sung by Mohammad Rafi, its music is composed by Ravi and lyrics are written by Sahir Ludhianvi. Bahu Beti is a 1965 Hindi movie starring Joy Mukherjee, Mala Sinha and Ashok Kumar.

Jiyo To Aise Jiyo Jaise Sab Tumhara Hai Lyrics - Bahu Beti

Jiyo To Aise Jiyo Jaise Sab Tumhara Hai Song Detail


Song: Jiyo To Aise Jiyo Jaise Sab Tumhara Hai
Album: Bahu Beti (1965)
Singer: Mohammad Rafi
Musician: Ravi
Lyricist: Sahir Ludhianvi
Star Cast: Joy Mukherjee, Mala Sinha, Ashok Kumar etc.

Jiyo To Aise Jiyo Jaise Sab Tumhara Hai Lyrics

Jiyo to aise jiyo jaise sab tumhara hai
Jiyo to aise jiyo jaise sab tumhara hai
Maro to aise ki jaise tumhara kuch bhi nahi
Jiyo to aise jiyo jaise sab tumhara hai
Jiyo to aise jiyo

Yeh ek raaz ke duniya na jisko jaan saki
Yehi woh raaz hai jo zindagi ka haasil hai
Tumhi kaho tumhe yeh baat kaise samajhaun
Ki zindagi ki ghutan zindagi ki qaatil hai
Ki zindagi ki ghutan zindagi ki qaatil hai

Har ek nigah ko kudrat ka yeh ishara hai
Jiyo to aise jiyo jaise sab tumhara hai
Jiyo to aise jiyo

Jahan mein aake
Jahan se khinche-khinche na raho
Woh zindagi hi nahi jismein aas bujh jaaye
Koi bhi pyaas dabaaye se dab nahi sakti
Isi se chain milega ki pyaas bujh jaaye
Isi se chain milega ki pyaas bujh jaaye
Yeh kehke mudta hua zindagi ka dhara hai
Jiyo to aise jiyo jaise sab tumhara hai
Jiyo to aise jiyo

Ye aasman, yeh zamin, yeh fiza, yeh nazare
Ye aasman, yeh zamin, yeh fiza, yeh nazare
Taras rahe hain tumhari meri nazar ke liye
Nazar chura ke har ek sheh ko yun na thukrao
Koi shareeq-e-safar dhoondh lo safar ke liye
Koi shareeq-e-safar dhoondh lo safar ke liye
Bahut kareeb se maine tumhein pukara hai
Bahut kareeb se maine tumhein pukara hai
Jiyo to aise jiyo jaise sab tumhara hai
Maro to aise ki jaise tumhara kuch bhi nahi
Jiyo to aise jiyo jaise sab tumhara hai
Jiyo to aise jiyo