Jab Chali Thandi Hawa Lyrics - Do Badan


Jab Chali Thandi Hawa Lyrics from the movie Do Badan is sung by Asha Bhosle, its music is composed by Ravi and lyrics are written by Shakeel Badayuni. Do Badan is a 1966 Hindi movie starring Manoj Kumar, Asha Parekh and Pran.

Jab Chali Thandi Hawa Lyrics - Do Badan

Jab Chali Thandi Hawa Song Detail


Song: Jab Chali Thandi Hawa
Album: Do Badan (1966)
Singer: Asha Bhosle
Musician: Ravi
Lyricist: Shakeel Badayuni
Star Cast: Manoj Kumar, Asha Parekh, Pran etc.

Jab Chali Thandi Hawa Lyrics

Jab chali thandi hawa, jab uthi kaali ghata
Mujhko aye jaan-e-wafa tum yaad aaye
Jab chali thandi hawa, jab uthi kaali ghata
Mujhko aye jaan-e-wafa tum yaad aaye

Zindagi ki dastan chahe kitni ho haseen
Bin tumhare kuch nahi
Bin tumhare kuch nahi
Kya maza aata sanam aaj bhoole se kahin
Tum bhi aa jaate yahin
Tum bhi aa jaate yahin

Yeh baharein, yeh fizaa dekh kar o dilruba
Jaane kya dil ko hua tum yaad aaye
Jab chali thandi hawa, jab uthi kaali ghata
Mujhko aye jaan-e-wafa tum yaad aaye

Yeh nazaare yeh sama aur phir itne jawaan
Haye re yeh mastiyan, haye re yeh mastiyan
Aisa lagta hai mujhe jaise tum nazdeek ho
Iss chaman se jaane jaan
Iss chaman se jaane jaan
Sun ke peehi sada dil dhadakta hain mera
Aaj pehle se siwa tum yaad aaye
Jab chali thandi hawa, jab uthi kaali ghata Mujhko aye jaan-e-wafa tum yaad aaye