Jaaneman Tum Kamaal Karti Ho Lyrics - Trishul


Jaaneman Tum Kamaal Karti Ho Lyrics from Trishul (1978): This is a lovely song from Trishul starring Amitabh Bachchan, Hema Malini, Rakhee and Sanjeev Kumar. It is sung by Lata Mangeshkar and Kishore Kumar and composed by Khayyam. Trishul is a 1978 Hindi movie starring Amitabh Bachchan, Hema Malini and Rakhee.

Jaaneman Tum Kamaal Karti Ho Lyrics - Trishul

Jaaneman Tum Kamaal Karti Ho Song Detail


Song: Jaaneman Tum Kamaal Karti Ho
Album: Trishul (1978)
Singer: Lata Mangeshkar, Kishore Kumar
Musician: Khayyam
Lyricist: Sahir Ludhianvi
Star Cast: Amitabh Bachchan, Hema Malini, Rakhee etc.

Jaaneman Tum Kamaal Karti Ho Lyrics

Aaj hum ishq ka izhaar karein to kya ho?
Jaan pehchan se inkaar karein to kya ho?
Bhari mehfil mein tumhein pyar karein to kya ho?
Koshishein aapki betaar karein to kya ho?

Kehte darti ho, dil mein marti ho
Jaaneman tum kamaal karti ho
Jaaneman tum kamaal karti ho
Arre kehte darti ho, dil mein marti ho
Ho jaaneman tum kamaal karti ho

Aankhon aankhon mein muskurati ho

Baaton baaton mein dil lubhaati ho
Narm saanson ki garm lehron se
Dil ke taaron ko gudgudaati ho
Arre in sab baaton ka matlab poochhein to
Rang chehre ka laal karti ho
Ho jaaneman tum kamaal karti ho

Chup bhi rahiye yeh kya qayamat hai?
Aapki bhi ajeeb aadat hai
Itna hungama kis liye aakhir
Pyar hai ya koi museebat hai
Jab bhi milte ho jaane tum kya kya
Ulte seedhe sawal karte ho Jaaneman tum kamaal karte ho

Mastiyan si fazaa pe chhayi hain
Waadiyan rang mein nahaai hain
Narm sabz ped shokh phoolon ne
Makhmali chaadrein bichhayi hain
Aah! chhodo sharmana aise mausam mein
Tabiyat kyon nihaal karti ho
Ho jaaneman tum kamaal karti ho
Jab bhi milte ho jaane tum kya kya
Ulte seedhe sawal karte ho
Jaaneman tum kamaal karte ho
Hey jaaneman tum kamaal karti ho
Ho jaaneman tum kamaal karte ho
Main kaha jaaneman tum kamaal karti ho